azlyrics.biz
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

ganesh hegde – aa bhi jaa lyrics

Loading...

na jaao saiyya main ro padungi
ruk jaao na tum ek raat ke liye

this is a story of separation, loneliness and love

aa jaa phir se mujhe chod jaane ko aa
ek baar mujhse tu rooth jaane ko aa
aa bhi jaa aaise na tarsa
aa bhi jaa aa aa aa aa aa bhi ja

chashmotar ho gayi ashko se tu nahi aaya
jaan rakhi hai ab labon pe tu nahi aaya
tujhse achhi toh meri maut hai mere kaatil
waqt par aa gayi par tu abhi nahi aaya

aa bhi jaa aaise na tarsa
aa bhi jaa aa aa aa aa aa bhi ja

tere bina lage naahi mora jiya
main kya karu kaise jiyu tu hi bata
mere sanam mere khuda tu hain kaha
tanha lage tere bina sara jahaan

aa bhi jaa aaise na tarsa
aa bhi jaa aa aa aa aa aa bhi ja

tu meri zindagi tu meri tishnagi
tu meri aarzoo tu meri bandagi
tu meri basm hain tu hi tanhai hain
tu hi meri ghazal tu hi rubaai hain
tu mera humkadam tu mera humnawa
tu hi mera sanam tu hi mera khuda

na jaa saiyya main ro padungi
ruk jaao na tum ek raat ke liye
radha pukaare kaha khoye ho kanhaiyya
radha pukaare kaha khoye ho kanhaiyya

aa bhi jaa aaise na tarsa
aa bhi jaa aa aa aa aa aa bhi ja

hmm yeh nazar ka dhoka hai
yah dil ki dillagi
duur milte dikh rahe hai aasmaan zameen
faaslon ki reh gujar hai darmiyaan
paas rehke bhi yeh kaisi duriyan
tere bina lage naahi mora jiya

main kya karu kaise jiyu tu hi bata
mere sanam mere khuda tu hain kaha
tanha lage tere bina sara jahaan
hey khoj rahi hai piya pardesi aankhiyan
hey khoj rahi hai piya pardesi aankhiyan

aa bhi jaa aaise na tarsa
aa bhi jaa aa aa aa aa aa bhi ja

(aa bhi jaa aaise na tarsa
aa bhi jaa aa aa aa aa aa bhi ja)
na jaa saiyya main ro padungi
meri zindagi
tere bina laage naahi mora jiya
mere saiyya jii



Random Lyrics

HOT LYRICS

Loading...