azlyrics.biz
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lucky ali – ajaani raahon mein – meri jaan hindustaan lyrics

Loading...

lucky ali – meri jaan hindustaan — anjani raahon mein

anjaani raahon mein tu kya dhoondta phire
door jisko samjha woh to paas hai tere
saans mein hawaa, jaan mein zameen
dil mein khula aasmaan
pyaar hai khuda, pyaar hai khushi
pyaar se hai dono jahaan
tera yeh aashiyana, mera bhi aashiyana
to anjaani raahon mein phir kya dhoondta phire
door jisko samjha woh to paas hai tere
ghoomta raha door tu kahin, udte baadalon ki tarah
kahin se tujhe aayi hai sadaa, laut ke aa ab zara
tera yeh aashiyana, mera bhi aashiyana

woh jhilmilati aankhen, bholi si adaa
woh dheere dheere chalke lahrati hawaaein
hum ko le jaaye wahan
jahan ho ghar apna
meri yaadon mein paaya hai
aaj to milne ka din hai aaya, aaya

saans mein hawaa, jaan mein zameen
dil mein khula aasmaan
pyaar hai khuda, pyaar hai khushi
pyaar se hai dono jahaan
tera yeh aashiyana, mera bhi aashiyana

to anjaani raahon mein tu kya dhoondta phire
door jisko samjha woh to paas hai tere.



Random Lyrics

HOT LYRICS

Loading...