azlyrics.biz
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

aakash ravikrishnan - khauf lyrics

Loading...

(verse)
pareshaani na chodhti akele kyuki paison se bharta pet
agar karoge tum nek kaam bhi
yeh duniya hai ded shaani
saara chin jaayega bina chaitaavni
jeevan me jeet haasil karna zaroori jiske liye bante kaatil
bas khud ko kaabil saabit karne ki saajish
har jagah mukaabla, kahaan hai artist?
khaawishein choti, jise poora karne me saare ban jaate yahaan maansik rogi
bhagwaan bharose khele aankh micholi
kaise fir na paida ho jaaye naastik soch bhi
jeene ke liye hum dete rakkam, bina soche kaisa hoga har kadam
aatma-hatya na hai hal, kyuki apnon ke aankhon me na dekh sakenge nam

(pre-hook)
jeene ka maksad hai daud
mushkilein bohot
ladhna na seekhna toh hona fir maut
sabhi lage pade apne hi taur tareeke me
isliye sabhi ke aankhon me dikhta hai khauf…
haan, sabhi ke aankhon me dikhta hai khauf…dikhta hai khauf!

(hook)
sabhi ke aankhon me dikhta hai khauf
yeh duniya ke daur me khudko kyu apnaana padhta jaise zindagi ka iklauta taufa leke chalte jaana
ab na hota yeh aur.., haan, ab na hota yeh aur..haan
kehte hai hum hai aazaad, par is duniya ke logo ne de diya jeene ka khauf!

(verse)
hum sabhi ko yuhi bhagaate, humaare sapno ko suli chadhaate
maathe pe kaafi tanaav hai, sabhi ke chehron par khota naqaab hai
hum sab katputli hai, bina kisi bhaavnaao ke
guzaara kare neeche sarkaar ke paao ke
sabhi ke andar hai dar ka prabhaav
toh kaise badlaav ki aag jagaaoge?
padhaai, kaam, mrityu, zindagi jeene ka wakt hi nahi
budhaapa toh vash me nahi, bimaari se peedhith shareer, pradushan hai ant ki ghadi
insaan bas karta mehnat ek loop me phaske
kitne toh bane kaamyaab bina school se padhke
inko banna shaktishaali desh nukes se ladhke

(pre-hook)
jeene ka maksad hai daud
mushkilein bohot
ladhna na seekhna toh hona fir maut
sabhi lage pade apne hi taur tareeke me
isliye sabhi ke aankhon me dikhta hai khauf…
haan, sabhi ke aankhon me dikhta hai khauf…dikhta hai khauf!

(hook)
sabhi ke aankhon me dikhta hai khauf
yeh duniya ke daur me khudko kyu apnaana padhta jaise zindagi ka iklauta taufa leke chalte jaana
ab na hota yeh aur.., haan, ab na hota yeh aur..haan
kehte hai hum hai aazaad, par is duniya ke logo ne de diya jeene ka khauf!



Random Lyrics

HOT LYRICS

Loading...