albaari - pareshaan haal hoon main lyrics
(intro)
pareshaan haal hoon main
lajawaab sawaal hoon main
mumkin nahi palbhar mein sambhalna
muddaton se nidhaal hoon main
(bridge)
zamaana+e+daraaz se yeh afsurda afsaana zindagi ka chalta aa raha hai
apni manzil tak kaise pohoche naasaaz toh har qadam pe ladkhada raha hai
sahil ka tasavvur bhi karey kaise bahr+e+zulmat jo la+mahdood nazar aa raha hai
zindagi se naashaad, zindagani se naaraaz
aaj khafa khafa sa hai mera mijaaz
dodtey dodtey g+ya haaf
na jaane kab lagegi manzil haath
be+chaini bhari padi zehen mein be+hisaab
kab mehsoos hoga sabr+o+sukoon ka ehsaas
(verse)
kya bayaan karein aziyat+o+aazaar
kya numaaya karein zakhm+e+dil hazaar
tootna toh laazmi hai
muqammal dil waalon kya sunaaye
be+kas ke haal+e+dil ka behaal ashaar
yeh zindagi manind kisi gulistaan mein
arson baad aayi ho bahaar
aur main woh be+zaar titli jisey na raha ab gulon ka khumaar
khilkhila uthti thi jo dekh ke phoolon ki bisaat
utar g+ya ab uska iss shokhi ka bukhaar
dar+haqeeqat mein dekhеin toh
rishton ka bhi kuch aisa sa hi hai hisaab
kai logon ko hum nai pasand
toh kuch log ab humein bhi hain naagavaar
pareshaniyan beshumaar hai humarеy apne paas
koi karey mubaalgee apne dukhon ki
toh ab nai rakhtey hum unse ikhtilaaf
yaa ho jaaye log har naya savera dekh ke be+haal
humein kya, hum toh kal bhi thay nidhaal aur aaj bhi hain nidhaal
Random Lyrics
- asera - it follows lyrics
- big shmouk - почему? [slow/reverb] lyrics
- theotin - être célèbre lyrics
- cumberland quartet - waiting on the water lyrics
- hassan truly humbled under god - i feel like new york lyrics
- spacc - megvan mindenem lyrics
- fagner - não tenho tempo lyrics
- bunda boys - e-town freestyle lyrics
- paulo gonzo - presságio lyrics
- rövşən əziz - dostlar oynasın lyrics