azlyrics.biz
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

bechain atma : the restless souls - zero by zero - hindi rap cypher 2017 lyrics

Loading...

[[verse 1 : chhetri jee ]]

ek zamana wo bhi tha jab apne school ka main topper tha
par unhe kabhi nahi dikha mere andar jo hip-hoper tha
maine kabhi kisi ke kuch kehne ki parwah nahi kari
mera manzil par nishana tab se ekdum han proper tha

mujhe fark kbhi pada nahi kutton ke bhaunkane ka
dam lagao jitna laga sakte ho mujhe rokne ka
mujhe taras aata hai tumhri is bachkani see soch par
irada tumhra mujhe hamesha piche se tokne ka

likhte-likhte yun hee ek din main bechain ho g-ya
suna jisne likha mera : seedha fan ho g-ya
rap karna achcha lagta hai ab jaan se bhi jyada
unke liye to jaise main : super-man ho g-ya

super-man ke jaise main kabhi kisi de dara ni
meri diwani duniya – par mujhe jara bhi parwah ni
dekhne mein kuch nahi – par vistrit charcha ka vishay
zero-by-zero jaisi hai ye meri kahani

[[verse 2 : saransh]]
meri kahani ye hai meri zabaani
kaan khol kar sun-na tabhi samajh mein aani

mujhe pata nahi tha rap gana-wana ye sab hota kya hai
tv ke piche na jaane aisa hota kya … hota kya hai haan

mujhe duniya daari ka hosh nahi tha
seene mein koi josh nahi tha
is rangon ke mele mein zindagi mein koi rang nahi tha
koi sang nahi tha… tha
teen chaar yaar the
saare saale gaddar the
jalte the mujhse,pith piche karte mere waar the
aage bante anjaan the,karte baatein mere baare mein sab,khulle mere kaan the
is se bhi wo anjaan the,haan,kya nadaan the?

ab chhod diya maine unko ya unhone mujhko chhod diya
farak nahi padta mujhko safar maine apna mod diya
mod diya,piche maine sab kuch chhod diya
fir kya?
fir rap ke,alfaaz pade mere kaano mein
bijli kadke asmaano mein fir kya…
fir ghus g-ya main gaano mein,gaano mein

fir start kiya rap jabse tabse logon ko khauf mera
jo dikha ta tha tu mujhko ab kahan g-ya wo josh tera?
hosh tera,ab nahi hai tujhko hosh tera
ye mere rap ki galti hai na isme koi dosh tera,dosh tera
sun,sochle,main tujhse aage,tu mujhse piche aisa sochle
rokle,rok sakta hai to rok le
thok le,be-matlab rhyming thok le
sun,ye cheez nahi chhoti sun le
words ka ye mel hai
tu mujhse kya jeetega beta,rap to mera khel hai
end tera kareeb,shabdon se tu gareeb
ja bacha le agle wale se jo farzi tere mehel hain

[[verse 3]]
sheesh mehal saare tere mere chillane tak se toot jayenge
tum kaathe karlo launde sau hum sabko koot jayenge
izzat ka faluda tere ghar wale roenge
khulle aam tere sir par tere hum haan moot jayenge

tere chhut jayenge paseene meri rees karne mein
toot jayenge arman meri jaisi koi cheez karne mein
dharne mein baitha tu mere khilaaf awaz laga
par ab der nahi launga main sab seize karne mein

drame kar kar ke tum janta kabhi nahi bhar paoge
rap ka dhanda badhiya mera manda nhi kar paoge
tum rapper khud ko kehte ho karte rap nahi karte
main to saans rok ke gaa lun – tum ghanta nahi kar paoge

aur ye usko salaam mera bada bhai fauz mein hai
jiski wajah se chhota wala mauz mein
mujhe dekh-kar mujhe saare jalne wale shock mein hain
ke kaise ye launda nawaabon wale shauk mein hai

paisa atm se khacha-kach main cash karta hun
fir hood mera mere shoes se haan match karta yun
aur high-way par gaadi meri jaati jaise shoon
maut aani haai to ayegi fikar karun main kyun ?

[[verse 4]]
mujhe fikkar nahi kisi baat ki
kisi baat se darta nahi
darta nahi kuch karne se,jo karta wo asaan nahi
mera,aur kuch kaam nahi
karte baatein mere baare mein sab tera kahin naam nahi
haan,mujhse bhidne ka,hoga theek,tera anjaam nahi
anjaam nahi
main tujhpe bhaari,goli se jyada bhaari bus meri boli hai
kholi hain maine aankhein teri khol hain
mera rap sunke dekh ulte paanv bhage teri toli hai
toli hai,haan,haan main gunhegaar,saamne se main karun waar
tere jaison ki mujhe dekh-ke ho gai hain aankehin fat-ke chaar
bekaar,teri chaal mujhpe bekaar
sawaar khoon mujhpe,sawaar tera karne ka
time hai tera marne ka,rap sunke tera,man,kare tere dharne ka
hatt,ab mujhse jeetna hai,sabse mujhe jeetna hai
top par,mujhe dikhna hai
aja seekhle beta aisa rap kaise likhna hai

[[verse 5]]
likhne ki adat hai mujhe aur use gaane ka junoon hai
bechain hai meri atma na mujhko sukoon hai
tum mujhe kehte rehte ho mai awara firta rehta hun
baithne kahin nahi deta mujhe ye jo mera khoon hai

mere ghar wale hain tang time par main nahi sota
par chhoti-chhoti in baaton ko lekar main nahi rota
maine zingdagi khokar apni ye zindagi banai hai
aur main aisa nahi karta to aaj main yahan nahi hota

zehan mein bitha lo meri jo ye baat hai
farzi rappers ke liye jaise ye maut ki saugaat hai
agaaz hai ye ab aane wale yug ka
ye akhiri line hai mere gaane ki par tumhre khatme ki shuruaat hai !



Random Lyrics

HOT LYRICS

Loading...