azlyrics.biz
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

danish roomi - kamzoriyan lyrics

Loading...

[verse 1: danish roomi]
aansu he aansu thay jab seh rahi thi woh ghum
dard ke halaaton may, berhiyan uske haathon may
galay may zanjeer se jakray, huay thay jab raakh
tair ke jana tha, paani nahi thi yeh aag
tu uth, ab bol raaz saaray yeh khol
torr de zanjeer yeh rasm+o+rivaaj ki

[chorus: danish roomi]
tu kamzor nahi, hai tu kanzor nahi
hai tu kamzor nahi, hai tu kamzor nahi

[verse 2: munab a. manay]
tum kamzor nahi, yeh imtehaan tha
such ki hoti jeet, zaalim bhi hai jaanta
zanjeer toot’ti, tabhi badalti taqdeer
tum woh such jiski chupatay woh tasweer
par ab jo bhi bolein woh, tum ne darna nahi hai
aankhon may aansu, kya tumhein aagay barhna nahi hai?
mujhe maloom dil kamzor, tumhein rona aata
par rabb hai saath, hota theek jab woh naam aata
yeh hawayen bhi ab saath hain
izzat karne walay be+hisaab hain
bil+aakhir, yeh tou waqt tha jo aata+jaata
bazahir thi haar, ab hogi jeet, yeh hai mera waada
zamana chahay jisay darana woh kal hai
tum agar dhoop kharay, ban kar baadal hain
khuda ke saath kon, khuda yeh jaanta
darna nahi, yeh tou bus ek imtehaan tha, kyun ke
[chorus: danish roomi]
tu kamzor nahi, hai tu kanzor nahi
hai tu kamzor nahi, hai tu kamzor nahi



Random Lyrics

HOT LYRICS

Loading...