azlyrics.biz
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

​emya - darbaar lyrics

Loading...

darbaar
mein aa khada hai koi ek parinda
pankh faile usne vapis udd raha
uthaya rangmanch pe se parda

darbaar
in rajao ki kursi kaa na hakdaar
paya kuch nahi hai pake sarkaar
kalam hi gaddi kalaa hai asmaan

darbaar
naa pyaar hai kahi bhi kahi si hai wo baat
jo koi kare izhaar apne mann ki baat
to woh raato raat ho jaaye napaak

par ab darbaar
mein aa khada hai koi ek parindaa…mein aa khada hai koi ek parinda

verse:

1 2 3
shuru karu main ginna jab nahi aati neend
hai insaan ki fitrat yakeen
toh bharosa hai sapna har din wahi

hargiz nahi maanu haar
jab pehli kiran sooraj ki khole aankh
tab sehmisi rehti aanewali raat
darr roop kya dharan karega ye aaj
use, bhool chuka khud main khudko
khudse khush toh kuch naa main
ghuss ke ghula toh ghutan aye gale mein gham sahe

faasi ke fande pe fase faadi panne likha bharke
taweezo pe na atke, nishaani bana phiru khudse
kahaani toh chaiye hatke, nahi toh shabd ye biktе naa
phir tikte na hai lekhak
dikhte naa
jo khamosh hai cheekhеin
ittefaq bhi lele intekaam
bichaa ye jaal bachke

bridge:
par ek din ho yaa ek saal
sher dil ho, hya bhed chaal
nek dil ho yaa baimaan
chale sabhi keliye kaal hi samaan

par ek shaks, bane vardaan
bedar, chue ahankaar
beshak taale tode hai samaaj ke
toh kehne lage sab jabhi khole maine dwaar

hook:
darbaar
mein aa khada hai koi ek parinda
pankh faile usne vapis udd raha
uthaya rangmanch pe se parda
darbaar
in rajao ki kursi kaa na hakdaar
paya kuch nahi hai pake sarkaar
kalam hi gaddi kalaa hai asmaan

verse:
karte kal kal parso badhta kaam
bharke vakt nasht gharpe bhar de jaam
badle karvat par na apana haal
ban tu vaalya bola mar mar mooh se nikla ram

ab antaratma bhakti geet
jo boli tujhse kar wahi

jeet badhi chali hai bhasm si
toh shani kare tabh khalbali
jab bali chadhi anarth ki
azaad naachi nartaki
kali ghata jab b+rs+gi
ufaq main dikhe bas wahi

bas wahi alfaaz, bana naya geet
kala meri khaas, main akela nahi
khoj teri awaaz, dikha chehra nahi
jab bhi lena saas tabhi yaad rakh tu tera sahi
hai baadalo ke paar kya, padta pharak naa
jab tak na lage pyaas, anjaan hai asmaa
bikhra sansaar, ye at++t
par zameen gunehgaar? woh toh samaaj tha

yea its d+mn tragedy
a th+rny canopy
anonymously
false calling me
i am falling in
i am positive
all okay
but what if i begin
the thoughts of not making it
cause of the boxes i am within
apologies for all the sins

par abhi kardo maaf
main dekh chuka sab karna ab araam
vivek bina hota kabhi bhi na shyaam
ab bhej do ye khat ki

hook:
darbaar
mein aa khada hai koi ek parinda
pankh faile usne vapis udd raha
uthaya rangmanch pe se parda

darbaar
in rajao ki kursi kaa na hakdaar
paya kuch nahi hai pake sarkaar
kalam hi gaddi kalaa hai asmaan

darbaar
naa pyaar hai kahi bhi kahi si hai wo baat
jo koi kare izhaar apne mann ki baat
to woh raato raat ho jaaye napaak

darbaar
mein aa khada hai koi ek parindaa…mein aa khada hai koi ek parinda



Random Lyrics

HOT LYRICS

Loading...