faisal kapadia & young stunners - phir milenge lyrics
phir milenge lyrics
[intro: faisal kapadia]
dil ke kisi
konhe mein hi
yaadein teri, maine
chupa rakhi hai
chupa rakhi hai
bhoola nahi
tu bhi mujhe
baatein yun hi, maine
bana rakhi hai
bana rakhi hai
[verse 1: talha yunus]
samaya tha dil mein woh aisey
anjaane doh miltay phir kaisey
tum baarish mein bheege hum behtay
samandar kinarey jo rehtay
umeedain laga ke woh bethay
jo apne ki gham woh bhi sehtay
yeh duniya toh chahti ke behkain
yeh baarish yeh khushboo se mehkain
[verse 2: talha anjum]
mile dard bohot
kabhi tu bhi mil
dil mein rehti nai
jaan ab tu hi dil
aaj phir aayi na tu
intezaar raha mustaqil
taveel hai gham ki sham
kahani mohabbat ki mukhtasir
nazarsani karo zara si
qadar karo meri qala ki
jaanay wale chalay jaate hain
kismat yehi to qabu main nahi ati
chaoon mein dhoop ki tarah
j+sm main rooh ki tarah
guzray dimagh se yaad teri
lagatar lahu ki tarah
ab khaye jaayein yеh dar+o+dewaar
mujhe kisi bhook ki tarah
teray bina nahi ghar bhi ghar
akailay mеhsoos yeh kiya
teri kami puri huyi na
aaj bhi rahi aik dil mein khala
khiza bhi aayi par
waqt aur zulm ka baagh bhi
raha na hara
tera hi aitbaar baki saari
duniya pe bharosa nahi bana
tu muj main dekhay insaan
baaki saari duniya ko dikhe bas qalaa
tu hai!
main hu!
aur gehri khamoshi
hum dono hi nahi suntay
joh kuch bhi yeh kehti hogi
gali yeh dil ki tang
ab tera us main aana na ho
dil ke mohalle mein
ab teray mera jana na ho
tu hai!
main hoon!
aur sirf fasle hain
raapte munqata aur
muntizir hum aapke hain
raaz hee nahi raazdaar bhi
kiya maangte hum
khamiyo pe parde log
kamhi yahan daaltay hain
hum sihanay rakh ke khwaab
raatein jaagte hain
hum tumhain tum se bohot behtar jaantay hain
[chorus: faisal kapadia]
sargoshi mein loun
naam tera
tere liye, maine
haaya rakhi hai
haaya rakhi hai
bhula nahi
main bhi tujhe
mere liye, maine
saaza rakhi hai
saaza rakhi hai
[verse 3: talha yunus]
zindagi pe
likh chuke hai falsafe
itni din lagi ki
khudko hi na pardh saake
beqadar tu darbadar
yun bekhabar hi chal pardhe
yaadein kheechti hai
aage hi na bardh saake
saadhgi ban chuki hai
badhzhi, muntazar
kharday usi mukaam pe
hum aaj bhi, aaj phir tu aayi nahi
aaj phir tu shayari
aaj phir tu ek gumaan
yaad teri khaye ghi
oh thi meri razaa
ab duaa ban g+yi
ae mere khuda kiya
saaza bard g+yi
main jaagun saari raat
woh subhah ban g+yi
garaj ke baraastay
ab yeh baadal nahi
tu mere har dard ki davah
main dhoop mein kharda
mehsoos kar zara
mausam badaltay ve dekhain hain logoun ke badaltay roup ki tarah
shamil hain ab teri dewaron mein
milain gai
khwabon mein rehtay
khayalon mein ulje
sawalon mein
kya tum pehchano g+y
ya phir mehmanoun se kaisey bharosha
karain ab insanoun pe?
tuhi khwaab, tuhi meri khwaish
tuhi ehsaas
main bayabaan tu baarish
milenge phir kabhi
umeed bhi tu aas bhi
khuli kitaab kartay
zakhmohn ki numawish
[chorus: faisal kapadia]
khaani kaha
khatam hoti hai
poori nahi
har kasam hoti hai
phir milenge kabhi
ajnabi ki tarah
iss aas mein
dil ne
subah rakhi hai
subah rakhi hai
subah rakhi hai
Random Lyrics
- mike marshall (gospel) - thank you (live) lyrics
- kristian bush - unbroken lyrics
- dooku & molover - деффка lyrics
- heartgone - motion picture lyrics
- baumarkt - feuer im sexclub lyrics
- les copines d'abord - la mauvaise réputation lyrics
- synchi - u not gang lyrics
- tonny tun tun - por que sin ti (version pop) lyrics
- juanita du plessis - gimme your love lyrics
- problematic - scars run deep lyrics