farasat anees & hashim nawaz - khazaanay lyrics
[chorus]
khazaanay khul jaye
mere saare khazaanay khul jaye
upar wale se maangu gunah sab purane dhul jayein
samandar dooba mar ke
nikla ab bhi pyaasa hun mai
ab bhi chahta mujhe chahne wale saare murh jaayen
[post+chorus]
lekin in raston pe hain mushkilat bahut
mukhtalif log karne wale ikhtilaf bahut
dhoke milte rehte lekin unka zimmedaar kon?
hogi khudkushi gunah par uska gunehgaar kon?
[verse 1]
mai hun ghar se bahar
ghar pe maa mujhe bula rahi
dua karti wo shuru nikalti jab ghar se gaari
safar ki dua padhke nikalta mai phir chalata gaane
bhatakta mai sambhalta mai
chalta bas rabb ke sahare
aur ussi sahare pe ummeed ke diye jale
ham samajh baithe ki iss zameen ke liye bane
farasat bole studio aaja jigar sab bhula ke
“labbaik jigar” pahuncha launda ladhkhadate
wo dhaate mere pe zulm mai unka saath deta
wo ghussa karte jab mai ghalat unka naam leta
authority auqaat badha deti hai ye nahi pata
lekin naam me jo taqat wo darjaat me na
rap karta kyunki bana ab therapy ye
mujhe nai parwa meri izzat kya family me
wo mere baare baatein karte phir dete naseehat
inki koi raaye nai ab sirf inki jealousy hai
[chorus]
khazaanay khul jaye
mere saare khazaanay khul jaye
upar wale se maangu gunah sab purane dhul jayein
samandar dooba mar ke
nikla ab bhi pyaasa hun mai
ab bhi chahta mujhe chahne wale saare murh jaayen
khazaanay khul jaye
mere saare khazaanay khul jaye
upar wale se maangu gunah sab purane dhul jayein
samandar dooba mar ke
nikla ab bhi pyaasa hun mai
ab bhi chahta mujhe chahne wale saare murh jaayen
[verse 2]
par yahan pe chahne wale kon? kon libadaa urhe?
maine yaar thode rakhe aur zyada chore
nahi hai yaad kitne yahan maine dil hain todhe
ye kalakaar zyada rap karta thoda bole
ab sun ke tareefein khush hun mai kaise?
yahi sab the jo kal mere baare kuch aur the kehte
salaamat rahe mere dushman yahan khade jo bhi
inki wajah se hai maqsad zindagi ka dhundha maine
mere views kam hue lekin bhook wahi
jo na samajh aata wo inhe qabool nahi
apne khwaab pure karte hue ho jaye agar nakaam
chote samajh le isme tera qasoor nahi
rap abhi zinda hai
mai iska saboot hun
mai apna aap bas
kisi ka na roop hun
takht khali baitha phela ke chaadar hun
neeche shaagird angoothi ye choom tu
ha
[chorus]
khazaanay khul jaye
mere saare khazaanay khul jaye
upar wale se maangu gunah sab purane dhul jayein
samandar dooba mar ke
nikla ab bhi pyaasa hun mai
ab bhi chahta mujhe chahne wale saare murh jaayen
[post+chorus]
lekin in raston pe hain mushkilat bahut
mukhtalif log karne wale ikhtilaf bahut
dhoke milte rehte lekin unka zimmedaar kon?
hogi khudkushi gunah par uska gunehgaar kon?
[outro]
yeah
yeah, yeah, yeah
yeah, yeah, yeah
yeah, yeah, yeah
farasat on the beat
ha
Random Lyrics
- björk - an echo, a stain (live 2001) (at royal opera house) lyrics
- rakkere - oslo lyrics
- tokyophile - automotivo catucada 1.0 lyrics
- lil elsu - đơn giản là đang giỡn mà lyrics
- tenz (rus) - мерзость (abomination) lyrics
- galan de peluche - cincuenta lyrics
- field medic - brief perfume lyrics
- int3rn3tl0v3 - bitch is writing again lyrics
- ric manrique jr. - kung ako'y nagkasala sa iyo lyrics
- los mox! - a view to a kill lyrics