fury rapsters - khamosh lyrics
[chorus: z4ne]
khamosh mein, khanabadosh mein
yeh hi hai fitrat meri mein nahi hosh me
befikra zindagi sunta bas apne man ki hi
aye khuda tu maaf kar mujhe mai nahi hoon hosh mai
khamosh mein, khanabadosh mein
yeh hi hai fitrat meri mein nahi hosh me
befikra zindagi sunta bas apne man ki hi
aye khuda tu maaf kar mujhe mai nahi hoon hosh mai
[verse 1: z4ne]
dil ki karta apni sunta ae khuda
teri bandagi mai hasta hasta
marta mai na darta kisi se
nas nas mai music basta
dus dus nahi chalta
kaske phasta band tha rasta
chaska lagta
jab insaan na jaane
kahan kahan hai phasta
basta kandhe pe lage mujhe bojh
hasta mai dekh ke duniya ki soch
maula madad kaafi
woh hi dega mujhe maafi
aur mai kia maangu
yeh hi mere liye hai izaafi
aur baaqi raat rehti baat rehti
haathon ki lakeerein
na jaane mujh se hain kia hain kehti
sasta nahi yeh flow karte bol
meri maa karti dua mereliye yeh hi bauhat
ab jo bhi hota zain deta uske mun pe bol
par lehaaz karta kyu ke ab
[chorus: z4ne]
khamosh mein, khanabadosh mein
yeh hi hai fitrat meri mein nahi hosh me
befikra zindagi sunta bas apne man ki hi
aye khuda tu maaf kar mujhe mai nahi hoon hosh mai
khamosh mein, khanabadosh mein
yeh hi hai fitrat meri mein nahi hosh me
befikra zindagi sunta bas apne man ki hi
aye khuda tu maaf kar mujhe mai nahi hoon hosh mai
[verse 2: shaikh]
karun khulaase aaj zindagi ke raaz ke
phirta maara maara nahi mile raaste
mizaaj bhi tha beqabu aghaaz se
aur apne na aate na aate mujhe raaz thay!
halaat se tha lar raha mai aaj bhi
baatein sach kyu lage inhe kaagzi
azaad si zindagi,pasand saadgi
lakeere haath ki bhi na deti sath thi!
aur baat ki kabhi yeh kisi se na
karta logon ko khush bhoola matlab jeene ka!
na kara dil kabhi saath jaam peene ka!
khuda se poochun tune khushiyan kyu likhi na?
sawaal bauhat dil o dimaagh mai
chupaye dusre chehre phire naqab mai!
chupi hain laalach peeche inke har sawab ke
tabhi rehta mai ab alag is samaj se
kitaaab se hi dosti barhaun mai
insaan se iss daur mai ab aas kia lagaun mai
jagaun soye hue yeh zameer
hain sare matlabi tou kia inhe sikhaun mai
[verse 3: mirza]
rehta khamosh dil ke raaz khuda jaanta
khata ka putla kaise ashraf khudko manta
khafa zamane se kal dhoka milna aam tha
ajj uski fitrat ko ek nazar mein pehchaanta
khuda jaanta ke saath tha na koi or
mili mayusi mujhe zindagi ke har mod
khuda saath tha jab nikla mai bediyan tod
ab na kamzor or na chale kisi ka zor
band darwaze zindagi kr diye todd khudse
tang zamane se hum girte padte uthte
likhte aap beeti baaghi aajzi thi baat seedhi
khelein saanp seedhi manzil khaak si hi
khaak mein thi
chala khwab leke ek mai
necha dikhane wale dus khara ek mai
banate bhane nai ye hustle aake dekh
matha tekta khuda ke aage mai
na koi fake bas jo dikhta vo likhta
na naik par zameer ye na bikta
na dikhta hai sach inki ankhon mein par ab
[chorus: z4ne]
khamosh mein, khanabadosh mein
yeh hi hai fitrat meri mein nahi hosh me
befikra zindagi sunta bas apne man ki hi
aye khuda tu maaf kar mujhe mai nahi hoon hosh mai
khamosh mein, khanabadosh mein
yeh hi hai fitrat meri mein nahi hosh me
befikra zindagi sunta bas apne man ki hi
aye khuda tu maaf kar mujhe mai nahi hoon hosh mai
Random Lyrics
- familiar with failure - behind every eye (my disease) lyrics
- triple01s - to the opps, from ysk lyrics
- naod - allsång i trakten lyrics
- gafanhoto - falando de amor lyrics
- dazayc - daza - u bloku lyrics
- depeche mode - walking in my shoes (random carpet mix - full length) lyrics
- yaux - 19 lyrics
- them airs - peak district lyrics
- el virtual, kae3 & pedro ladroga - café con baileys lyrics
- natalia jiménez - amiga si lo ves lyrics