azlyrics.biz
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

gdotj - truth lyrics

Loading...

saans tham leta mic par anne se pehle
gila na tujse bhai jo marji keh lae
has le ya bhai mujko tu bura kehl le
par akar jutte mein mere tu chal le
pehle

jaebein khali thi phr bhi vajan tha jaeb mein
khud ka court , khud ka judge khud ko karu pesh mein
seedhe saadhu se nafrat tabhi khudse bhi karta
chain unke paas jinka samay nikle fareab mein

kya hai gunah mera aaaj bhi hu puchta mein
do na sajah rab ko na poojta mein
kisi ki baatu se koi nata na hai lagta
akeli raatu mein khud ki baatu se toot+ta mein

18 se compare chota hua circle
trikone upar par pasand muje circle
maa kehti ab toh jaldi soota raatu mein
phr kyu teri ankhu pe pad re hain yeh dark circles

barvi mein jana cartoon karke kuch hai hota
kapru ko chodo gunahon ko khud hu dhota
dadi aur nani ko dheka nahi kabhi maine
dadu aur nanu ne muje kabhi nhi toka
sapnu mein ghum tabhi acha hai vaiyvaar
bachpan se hi kar raha sapnu ka vayapar
sab kehte sapne jeene ki hain vajah dete
maine dheka tut+tae sapne karte lachaar

zindagi ruk padi tasveer mein hu khada
kafan odd chuka kya karu tumhari salah
mera dil bada , usse bada bhoj
aur mere bhoj se mera veham bahut bada

ankhu se kitaboon ko kar deta hu khokla
hasi paas khushi na aur uska muje shaunk na
aaaas na koi jaise patjhad mein hai paed khada
par pen jab hath mein aaajata hai honsla

galat ho sakte hain mere sare hi vichar
par galat kabhi karta na prachar
khali kamre mein khud ko kar leta band
aur mano ya na mano usmein mera parivaar

pc on pada pr brain hua offf
table pe kitabein aur sath mein khitaab
khitaab mere sir pe kitaabon ko na deta hath
kyuki unne na karna chahta hu mein rakh

aggae peeche mere ab sirf phool hi hain
baatein gehri yeh batein fizool ni hain
kaaantein hathu mein par dard nhi ho ra
jaise rooh ko khaare sirf yahan phool hi hain
gir gya khada hua, khud ka bana gair
apni zindagi ka kaal, khud pe la ra kehar
agae khai peeche khua, khud ka gunegaar khud
khud ki kulhadi se kaate khud ke pair

kalam chotil sihai laaal rang ki
na kali na safed yeh dunia saat rang ki
kisse karu bayan jo dard mere andhr
10 chehre mil nhi rahi shakal ravan ki

kuch na dhikta ho chuka hu mein andha
shabdu ka mael kagzu ka karu dhanda
mein akela ya mere jaise aur bhi hain
sabko dete dete khud ka tudva lia jinhone kandha

mere andhr hai khazana usko khodte khodte gehra bahut ab hua ja ra
pani ka rang na koi aur uspe kaali chadar
yuh lagta roshni ko andhera nighalta hai ja ra

khud ko hi roku ya khud ko toku
ya phr khud ko hi saja du
ya mein khud ko jhonk du khai mein, ya phr khud ke sare khawab likh kar jala du

mafi mang lu mein khud se
ya phr khud ko kar du yuhi maaf
ya bhul jau kaun hu mein
aur apne gunaho ke sath kar du insaaf
rooh ko apni de du ab mein sajah
dafan kar du apnu ka sath
dard jo likha pada mitne na wala
chahe laga du saare paano ko hi aaag …!!

g dot j



Random Lyrics

HOT LYRICS

Loading...