azlyrics.biz
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

hamza khan swati – ghost town lyrics

Loading...

verse 1:

2 am drive long, inner west to bankstown
flight mode phone
location traced, unknown
2020, first round
gali sunsan hai jese ghost town
ghar betha band tu, covid worldwide lockdown
masked faces, sabke chehray chupay
per chupa na jiska hai osse tu bach
daur e gumrahi ki waja hai paisa
ja qabar mai leke ja paisa, hatt
han kardve ye bol kiun ke bolon mai sach
chupi hakeekat kisi se nahi per na janay kiun zehno ki sochen hain zabt
guzarish hai meri khuda se mere jo k janay hai dilon k haal sabhi k
azmaish ye teri hai parverdigara, jo samjha na abhi tu samjhe kabhi k
hain tere karam se ye paikar mitti k
ye mitti hai fani aur din bhi ginti k
samajh le ke jitni hain roohen zamee’n pe
hoti hain utni he raah e khuda bhi

+han hoti hain utni he raah e khuda bhi+

verse 2:
phir raha tanha pardes ki sardkon pe
arsa hoa hai ke betha na apno mai
mausam hai esa ke khoya hon sochon mai
khud ka ya kis ka hai khoon ye kaprdon pe?
havain bhi tez ye, dekho tamasha hai waqt ki race ye
ghaflat ka daur ye, jali ye log, zamana fareb ye
khoya mai khoya, sawalon k apnay jawabon mai khoya
soya mai soya, kiun ese k jese das raaten na soya?
utha andheron mai paya jab khud ko
batana chaha per bataya na tujh ko
jaga mai samajh jab aya phir mujh ko
ke hota jahan mai na kuch bin wajah k
gawah k phir hoti qadar hai tu jaan
hawa ko bhi hoti khabar hai tu maan
sunega khuda he tou osse he maang
dil mai hai tere likha jo pehchaan
dekhata khuda ke tu dekhay tou janay
phir janay hai dil jo jahan tujhse keh raha
azmata khuda ke tu bhatka tou lautay
aur lautay hai jab tou jahan sara tera hai

chorus:

”tu lautay hai jab tou jahan sara tera hai
andhera abhi hai tou ag+y sawera hai…
tu lautay hai jab tou jahan sara tera hai
ye jahan phir kya cheez? khuda he jab tera hai
haan janay hai dil jo jahan tujhse keh raha hai
vo khuda he tou hai jo tu mang+y vo de raha hai…
tu lautay hai jab tou jahan sara tera hai
ye jahan phir kya cheez? khuda he jab tera hai”

+ye jahan phir kya cheez? khuda he jab tera hai+



Random Lyrics

HOT LYRICS

Loading...