iconik - iraada lyrics
chorus
kuch kar dikhaane ka iraada hai
had se guzar jaane ka vaada hai
na hutt+na peeche humme aata hai
abhi toh safar ye aadha hai
bhot aage jaana hai
verse 1
jo khoon garam
toh duniya jalle
ya khud raakh banne
jo wajood+e+karam
sir taaj chadhe
ya raunde pairon ke talle
par na ho sharam
jeeyein buzdill’n ki tarhein
behtar shaan se marein
chahe rukawatein lakh aade
par ye bookh na kabhi mare
chahe maidaan+e+jung sir katte
par hamesha ye garv rahe
ki is dharti ne kayar nahi paida karen
haar maan ne ke mauke kai hai pade
par jeetne ki hai ek hi wajah
ki baap ka kabhi sir na jhuke
woh ghamand se kahe
jisko naam diya hum ne
log humme uske naam se jaan rahe
tumhe toh bus woh unchaai dikhe
jo aasmaan ko chune ke kaabil banni
tumhe na dikhe woh neev jo zameen me hai dhassi padi
mein aaj bhi hoon unka shukrguzaar jisne is bejaan se shareer me saas bhari
hum toh jee rahe the gumnaami ka pehne chehra
uski kya hi rahi hogi majboori jo woh meri pehchaan banni
toh aaj mein karta hoon usse vaada ab se ek pal bhi hoga zaaya nahi
mujhe na ho maut naseeb jab tak uska ऋण meine chukaya nahi
chorus
kuch kar dikhaane ka iraada hai
had se guzar jaane ka vaada hai
na hutt+na peeche humme aata hai
abhi toh safar ye aadha hai
bhot aage jaana hai
verse 2
ek baar mujhe ek teacher ne kaha tha
ki tumhari itni bhi na aukaat ki koi bheek bhi tumhe de jaaye
us din se har zakham rakha hai taaza
jo har pal mujhko ye yaad dilaaye
ki hogi lanat meri zindagi
jo iska jawaab mera kaam na de paaye
kyun ki hota na umar ka taqaaza jab baat izzat pe aaye
chahe us din akela khada tha
par majaal duniya na saath janaza ye nikal jaaye
ye zindagi bereham badi, ye cheen na sikha deti hai
jo musibat ki aaye ghadi toh aaina dikha deti hai
agar zidd hal teri sir chadhi toh mehnat ka silah deti hai
aur jo dekhi chaar din ki chaandani toh jehannum bhi dikha deti hai
par rakhna yaad jo baatein dil jalli, pura kilsa deti hain
wahi aage badhne ka hausala bhi deti hain
jinhe lagta hai zindagi bhot badi
hai abhi samay hi samay
unhe dun bata zindagi ka koi bharosa na
dusvi me khoya tha dost meine
kapde the khoon se range
toh jeene ki mili hain jo mohlatein
usme edee choti ka zor laga de
kar awaaz buland aur sab ko ye bata de
ki
chorus
kuch kar dikhaane ka iraada hai
had se guzar jaane ka vaada hai
na hutt+na peeche humme aata hai
abhi toh safar ye aadha hai
bhot aage jaana hai
Random Lyrics
- les rats (punk) - mon cafard et moi lyrics
- tajiez - stupid lyrics
- dopapod - runny lyrics
- alethea - strong as i am lyrics
- marc parrot - esa chica no es para mí lyrics
- dj aquana - my ding a ling lyrics
- haaland936, ego & sadiq - msn/hustler lyrics
- penicillin - 地球 (chikyuu) lyrics
- teke::teke - gotoku lemon lyrics
- sam avry - cocain3luv lyrics