azlyrics.biz
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

jani & superdupersultan - ​this is how it feels lyrics

Loading...

[verse 1]
aayi khushbu teri, aane ka andesha hai
mein ne pehli baar khushi se ghar sameta hai
tu aa rahi hai, woh zamane bhar se kehta hai
aik chahne wala tera iss taraf bhi rehta hai
na mujh ko neend aati hai, naa chain parta hai
seene mein aik pathar khamkha dharakta hai
ghanudgi mein likhta hun mein gaane jaaneman
ab hosh mein to peene wala rang badalta hai
har sheher ke mausam dekhe hum ne saath mein
mein tum se dil ki baatein keh gya mazak mein
meri kitaabon ke woh phool mehke yaad mein
tu aisa noor ke nazar lag+y naqaab mein
tum haqeeqat ho, fasana ho, ya kuch nahi
tum meri akhri mohabbat ho to dukh nahi
ab tu yaad karne par bhi yaad aye na
bus aik gumaan hai, kya woh mere baad khush rahi

[bridge]
dhundhala dhundhala sa paaya
zehan mein tu jab jab aaya
teri khoj mein kya kya jhela
na dhoop mili na saaya
mehroom rahe the musaafir
ghar dhoondh rahe the musaafir
tu ne aisa kaam dikhaya
manzil bhool gye the musaafir
[verse 2]
bazaaron mein tera haath chorr dena
mera rooth ke manana, phir koi baat bol dena
dil so baar torr dena, teri baat aur hai na
jo alehda kare tum se, woh diwaar torr dena
mayusion mein umar qaid ho jaye
shifa bhi mile, dawai se parhez ho jaye
mein tujh pe tab tak likhta rahun jab tak aik hojaayen
j+sm dhal jaye kahin aur baal safaid ho jaayen
aaj phir kisi ki maut ki khabar suni
ab herat hoti hai zindagi kitni choti hai
ab mein aksar is khayal mein parr jata hun
bata de shaks koi udaasi kahan hoti hai
sawaal kar to lena hum jawab bhi to aaye
ab issi kashmakash mein lage kabhi ji na paaye
saans to sabhi lete hain na zinda rehne ko
shikayat itni si hai sub ko jeena bhi to aaye

[interlude: jaun elia]
chaarasazon ki chaarasaazi se
dard badnam to nahi hoga
haan dawa do magar yeh batla do
mujhe araam to nahi hoga

[verse 3]
kya bataun ga zamane ko mein
majboori keh dun tere jaane ko mein
sabhi lut gya bazaar mein wafa ki
dil kahan laun ga lagane ko mein
ab laazim hogya kya jaana tera
kon sune ga ab yeh gaana mera
hum dono ke tou peshe bhi alag the
hasana kaam aur rulana tera
ab mein hun, aur kuch to yaad teri
dekh rahi hai doob raha hun, kyun nahi haath de rahi
khaak kahein hum, tu chamakta mehtaab thehri
karo na baat aisi, lag jaaye tan mein aag meri
dafa karo na mujh ko, tabah kro na mujh ko
udaasi ka garha hun, phir aa bharo na mujh ko
aisa karo na ke mein phir se kahin ka na rahun
bulandiyon par hun khara par woh sataah he kahun



Random Lyrics

HOT LYRICS

Loading...