azlyrics.biz
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

jokhay, nabeel akbar & talha anjum - jazbaat 2 lyrics

Loading...

[intro: jokhay]
yeah

[verse 1: nabeel akbar]
nazron mein to sabki par aata nai nazar
mehnat ki dil se, chori na koi kasar
sab kuch gawaa diya, aur kitna sabar?
nai hota mehsoos, nai hota kuch asar
musafir hu dunya mein karta bus safar
haathon se apnay khud khod raha qabar
karte sab qadar khojaanay k baad
zindagi mukhtasar mile ek hee baar
palat ke nai aatay moqay lagataar
sab moqay kho deta parwardigaar
hu gunahgaar apni ghalti tasleem karta
jeena dushvaar par tujhpar yaqeen karta
bas ik funkaar dil ki tafseer karta
g+ya thak haar, par ab tak umeed rakhta
acche dino ki, mehnat ke silon ki
umeedein judi mujhse kaafiyon ki
deewar hasraton ki, lachar muddatton ki
sar pe sawaar horahi sarfaroshi
kesi madhoshi? ye kesi khamoshi
kyun jeeta ye zindagi mujrimon si?
kyun jeeta ye zindagi dil jalon si?
ladh chuka boht, ab mar chuka khof
raazi hun maalik ab teri raza mein
likhi ho chaahay phir manzil ya maut (manzil ya maut)
[chorus: jokhay]
har roz larhta jung khud apne aap se
har roz jeeta jaise yeh din aakhri
afsos sub chehre dhakay naqaab se
afsos yeh ke ghum bhi behisaab hain
har roz larhta jung khud apne aap se
har roz jeeta jaise yeh din aakhri
afsos sub chehre dhakay naqaab se
afsos yеh ke ghum bhi behisaab hain

[verse 2: jokhay]
aisa kuch falsafa mila sab se
jeenе ko kuchalne hai khwaab apne
maazi mei band qaid duniya hai meri
aur mein nikal parha hu qismat se larhne
roz mein sochta “kya chhorhdu yeh sub kuch?
haar dun khud ko taake log mere sub khush?
ya hojaaun khud kush aur khud ko mein maardu?”
par apne fun ko kaise zinda mein gaarhdu?
na koi hai aarzu no den kisi ko dagha
par jaib mei na ho taka to koi kaise mera sagha?
zindagi jung hai ya zindagi yeh sazaa
mehnat ki khaatay na koi chhota na koi badha ay
kaisa ye marz? meri koi dawa nahi
par bina is dard ke jeene ka maza nahi
kam horaha qarz par dhal rahi jawani
khaya mei tars khud pe kabhi zara nahi
ab jo hona hone do
kya bacha khone ko?
kya faida rone ko?
raat k kuch ponay do
karwatain le raha, taras raha mein sone ko
khuli aankh se dekhta khuaab, hu mein paranoid
phir log mujhe kaatne ko bethe
gine chune log dard baatne ko bethe
gham jaanchne ko bethay
“jokhay you’re not focused” sab daantne ko bethe
kabhi na mile phir bhi naam mera lete
na jaante na maante par yaar bane bethe
dete thay saath nahi par aaj dekho kaise
mehnat mein meri hissedaar bane bethe
daavedaar bane bethe
kaamiyaabi ki ye meray zimmedaar bane bethe
inquilaabu hu mei jaise, peeche saath chalain mere
qurbaani deta mei aur yeh bus saamp bane bethe
[chorus: jokhay]
har roz larhta jung khud apne aap se
har roz jeeta jaise yeh din aakhri
afsos sub chehre dhakay naqaab se
afsos yeh ke ghum bhi behisaab hain
har roz larhta jung khud apne aap se
har roz jeeta jaise yeh din aakhri
afsos sub chehre dhakay naqaab se
afsos yeh ke ghum bhi behisaab hain

[verse 3: talha anjum]
yeah
2020, mujhay rap bore karay rap pe uboor mera
ye gaanay addictive
aur phenku back to back tou tootay na suroor mera
aaja baat karein zindagi ki
yu’n he agar milay gi zindagi ke mor par
mere chaaro taraf gandagi thi
tullay khaatay rishwat, paidagiri road par
mein satrah mein bigra mein teis sambhlaa mein solah ka famous
maara maari aur jhagra
aur laanjo ne jakra par likhaari tagra
mein likh likh nai thakk raha
rehta hu jangi haalat mein
ready for war ye qalam ki maar hai
aadhay rappers inspired hain mere se
aur jo nai hain wo mujhse bezaar hain
the guy who sang marijuana, mere saath chikkay marijuana
over time, out of city hota ana jaana
real talk tumhein mushkil hai samajh ana
and the guy who sang jo tu na mila
usse face to face tu kabhi na mila
ye larkay sab hustle pe chaltay hain
in larko ko apne se na milaa (meri baat sun)
famous tabhi low key
tujhe koi report nai ki mein kis se, kab, kahan mila
hum video banatay hi nai hain
kis mu se kaho ge shakal pe kaam mila?
tujhse bara network, tujhse zyada net worth
mein nai banta rap star, kabhi internet par
laya rap map par, lekin mein nai rap god
agar mein nai rap god, abbe tou phir tu kaun?
mein ghar tha urdu rap ka, mujhe maloom hai kaun yahan mehmaan
mujhse beef karlo do hazaar bees mein koi
i’ll smack that b+tch like i’m akon
jaikant shikray mein is game ka
leke bethay mandate kaafi der ka
tu aaj aya kal g+ya hum rahein der paa
tu raakh hua jall g+ya bujh ke andher tha
[chorus: jokhay]
har roz larhta jung khud apne aap se
har roz jeeta jaise yeh din aakhri
afsos sub chehre dhakay naqaab se
afsos yeh ke ghum bhi behisaab hain
har roz larhta jung khud apne aap se
har roz jeeta jaise yeh din aakhri
afsos sub chehre dhakay naqaab se
afsos yeh ke ghum bhi behisaab hain



Random Lyrics

HOT LYRICS

Loading...