kalam ink - dukhushi lyrics
[verse 1]
sunne ko ek bhi nahi
kehne ko baate hai 100
ye jeevan hota jaani khel sa
upar bhi, neeche bhi, jaise see+saw
chote yaha haunsle kadak hai
kyunki mai toota hun bhot
ro+ro ke gala ye chila
or gala jo chala toh saza+e+maut
yahan rone se kuch bhi ni hoga
ye dukho ka daldal bas kheenchta hi jaayega
tum darte ho galtiyan karne se
galti ni hogi toh seekh kya paayega
mai pehle bhi keh chuka
tum ko tum khud hi ki khushiyan
aur khud hi ka dukh ho
tum khushiyan kyun dhundhte gairo me?
maa+baap ka saath toh duniya ka sukh bro
hai naam just loosing myself
ek gaano me likh deta kitno ke dard mai
mai marne ke baad bhi jiyunga
r+i+p legends, they put me on shirt, yeah
mai tumko toh kar deta heal
but depression finds mе, faste hi jaara hun
ye kehtе hai likhta hai tu badhiya
par chhod kyun apni kahani batara hun
[chorus]
ye duniya ka kalavi roop hai
koi ni apna paraya
dukho ki dhoop bhi hogi
aur milegi tujhko fir khushiyon ki chaaya
ye waqt na tera na mera
ye maayavi kisi ke haath na aaya
tu tootke banega behtar
tootke banta hai ghar bhi purana
ye duniya ka kalavi roop hai
koi ni apna paraya
dukho ki dhoop bhi hogi
fir milegi tujhko fir khushiyon ki chaaya
ye waqt na tera na mera
ye maayavi kisi ke haath na aaya
tu tootke banega behtar
tootke banta hai ghar bhi purana
[verse 2]
bura waqt baarish jaisa hota hai
tum isme bas bheegte jaoge
par tabhi tum seekhoge jeena
tum baarish se bhigoge, sukh bhi jaoge
and that’s why i’m telling y’all
tum jeetoge, haaroge, ladoge, uthoge
aur jhuth mai fir bhi ni bolunga
life is b+tch, tum khud ko bhi kho doge
par yahi toh jeevan hai jaani
mai gaano se de deta jeene ki wajah
tu jeevan ko jeevan ni samajhta
sochta jeevan hai jeevan ki saja
par seekh us patte se jeena
jo jhadne ke baad bhi zinda kuch dino tak
tu aadhe me sochta leave it
chhodna hi tha toh bhaaga kyun milo tak
ab khud ki kahani batata hun
haar ke baitha hun ghar ke haalato se
akele kamre me hun bolta
sun lete kaan jo hote diwaro ke
and when i said hating hip+hop
mai haar chuka tha is jhuthe zamane se
par music ne mujhe ni chhoda
hazaro me dm toh ye lo fir gaana lo
fir lagta hai kismat hi koyla
ghiss lun mai jitna bhi banna nahi heera ye
log kehte awaaj me dard tha
k(g)ala jo ghota hai uska natija ye
toh bas tum ye matlab samajhna
ke bure se waqt ka accha natija hai
aur khushiyon ko khud hi me dhundh le
wo hi iss jeevan ko acche se jeeta hai, b+tch!
[chorus]
ye duniya ka kalavi roop hai
koi ni apna paraya
dukho ki dhoop bhi hogi
aur milegi tujhko fir khushiyon ki chaaya
ye waqt na tera na mera
ye maayavi kisi ke haath na aaya
tu tootke banega behtar
tootke banta hai ghar bhi purana
ye duniya ka kalavi roop hai
koi ni apna paraya
dukho ki dhoop bhi hogi
fir milegi tujhko fir khushiyon ki chaaya
ye waqt na tera na mera
ye maayavi kisi ke haath na aaya
tu tootke banega behtar
tootke banta hai ghar bhi purana (purana, purana, purana)
Random Lyrics
- plumberboi - difference lyrics
- li'l goldie - my neck, my back (¬‿¬) lyrics
- dika - youleuh 8 lyrics
- yawk-yawk - не видят lyrics
- impending doom - hellbent lyrics
- deacon blue - new order lyricsay lyrics
- rome streetz x ransom - jet fuel lyrics
- cognitive - the maw lyrics
- sheebah feat. chance nalubega - kale maama lyrics
- mukesh officials - purani jeans lyrics