karakoram, faris shafi & talha anjum - ye dunya lyrics
ye dunya lyrics
[chorus: karakoram]
chehre badalte jaayenge
chalti jaayegi, chalti jaayegi
ye dunya
rukti hai kahaan, kisi ke bhi liye?
[verse 1: talha anjum]
chehre badalte rahe
zindagi waise hi chalti rahi
dunya badalti hai fitratan
iss mein humari koi galti nahi
palti rahi dil me udaasi
andheron se leke roshni tak
khaamiyon se khamoshiyon tak
hosh se leke mad+hoshiyon tak
afsos nahi ke afsaane likhe
woh afsaane mabni afsuradagi par
khuda tu deta hai be+hisaab
mere dard me thodi toh kami kar
khile na kyoon yahaan ab woh gulaab
kyun rahi bahaar ki kami bas
qismat humaare hi haath me
us pe ikhtiyaar ki hai kami bas
woh log bhi guzar g+ye, woh ghar bhi jal chuke
wahaan ab kuch nahi
wahaan se ab gard uthe
zakham toh bharenge dost, waqt ki marham mein shifa hai
par waqt be+rahm hai dost
wo kab kisi ke liye ruka hai
jhuke na sar, phelain na haath humaare
ab bas yahi du’a hai
kabhi+kabhi aaye soch, jo hua wo theek hi hua hai
sabar se sabaq jo mile hain
sabar se ab meri sulah hai
ke koi nahi agar tera, toh meri jaan khuda hai
[chorus: karakoram]
chehre badalte jaayenge
chalti jaayegi, chalti jaayegi
ye dunya
rukti hai kahaan, kisi ke bhi liye?
[verse 2: faris shafi]
ek minute ruki, mera wait kar
okay then shafi bhai take one
kaha+suna, mu’aaf kijiyega
shalimar garden me saade paanch baje
mera shoot ke liye hair & make+up
jaldi mere shades laa
lekin pehle check the parameter
gaano ke badhte decibels
cheque pe badhte decimel
it’s incredible!
mein ismat chughtai
kaise qismat khul aayi
i think about this at night
jeewen baarishaan de weather da marshall mathers
mera instinct animalistic
mad magician ya mathematician
i never take second position
i’m getting ballistic, cataclysmic
bilkul asli, likhoon meticulously
lafaz mere medicinal se
love kiya maine qalam se
sach bola maine kasam se
rang dekho kaise badalte dikhte hai sab ke
karte qabze, baatein pakki, waade kacche
i’ve had enough of it, but i keep going
got no option, but to keep flowing
keep the toxic outta’ my zone
rakhein tashreef apni off of my throne
but before i got to go, let me tell you this
one thing i need you to know
if you ever need a friend, you can call my phone
‘cuz you’re not alone
[instrumental+break]
you’re not alone
you’re not alone
[bridge: karakoram & talha anjum]
sheharon me ghoomoon
main dhoondun kya?
sheharon me ghoomoon
bewajah
sab kuch main keh doon
dil me hai kya?
sab kuch main keh doon
bewajah (‘wajah)
sab kuch main keh doon
chehre badalte rahe
hum isi shehar me chalte rahe
sab kuch main keh doon
ghar tha weeran mera
aur hum akele hi jalte rahe
dhale yeh shaam ab din chadhe
chalo roshni ki simt chalein
apni zaat pe yaqeen mera
azaa’im mujhe yeh azeem karein
hakeem hai qalam aleel ke liye
kehne ko tere rafeeq to hain
phir peeth peeche kyun ye hareef bane
ajeeb ye
[chorus: karakoram]
chehre badalte jaayenge
chalti jaayegi, chalti jaayegi
ye dunya
rukti hai kahaan, kisi ke bhi liye?
kisi ke bhi liye?
[outro: talha anjum, faris shafi & karakoram]
ke koi nahi agar tera
toh meri jaan khuda hai
‘cuz you’re not alone
ke koi nahi agar tera
toh meri jaan khuda hai
you’re not alone
dunya..
you’re not alone
ke koi nahi agar tera
toh meri jaan khuda hai
Random Lyrics
- nikos vertis - synnefo lyrics
- zemer levav - as long as i breathe lyrics
- polokus - kacem wapalek lyrics
- clifton bright davies - renew us lyrics
- aklo - roller coaster lyrics
- funeral - bad idea lyrics
- snowblink - bulb, for later lyrics
- горшенев (gorshenev) - душа скорбит (soul mourns) lyrics
- josef salvat - pleasure pain lyrics
- natalie holmes - shifting shapes lyrics