azlyrics.biz
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

king nd - kaun hoon main? lyrics

Loading...

[hook – georgina mathew]
kaun hoon main? kaun hoon main?
jaanenge yeh saare
kaun hoon main? kaun hoon main?
log pooche mere bare

[ verse 1 – king nd ]
dimag mein ghoomay baatein, kalam mere hath mein
gheri soch mera saath de, geet likhu, kaatu raatein
aas paas log samjaate, baato mein fasaate
na kar yeh tamashe, par fir bhi karu dhamake
shabd jod du toh who geet hai, agli peedi ke liye yeh seek hai
haar mein bhi ab meri jeet hai, pyar karu isse jaise yeh meri preet hai
soch meri dheet hai, main wohi karu jo main chatha hu
likh kar apne mann ko behlata hu
aata manch par, dushman dang punch par
logo ko yaado ke saath chordh jaata hu
soch mein pada bimaar tha, iss waqt ka sada mujay intazaar tha
ab kabhi maanu main apni haar na, samju apna asli moolya, main bekaar na
toh kya agar star na? tare toh girne hai
anth main mitne hai, ginti main kitne hai, raat ko hi dhikne hai
main baana chaau woh jo logo ke dilo mein sada ke liye tikte hai
mushkilo ko karu roll aur phook du, jab hue jalan bin jijhak thook du
rahu high on life tabi koi nasha nahi chuna issiliye aaj mazboot hoon
khud ke dum pe chada main yaha tak, kaun yaha jo cheen payega mera haq?
yeh meri zindigi hai, karu iska istamaal, isse panno pe utaar
bataau kaun hoon main

kaun hoon main? x3

[hook – georgina mathew]
kaun hoon main? kaun hoon main?
jaanenge yeh saare
kaun hoon main? kaun hoon main?
log pooche mere bare

[ verse 2 – king nd ]
ab jaake aaya hosh, na kamm hoga mera josh
daal le chaye jitna rog, na payega mujay rok
takre kayi bure log , taane maarte roz
main unke samaj ke bahar hoon, kyuki unse aage meri soch
khud ko khojte kabi-kabi khud ke hi khyaal banjaate hai bhoj
tabi toh purani kitaabo ke peechay har roz main chordta hu soch
bheedo mein kamm, akelepan mein zada dhiku
poochta main khudse kya main theek hu?
gir ke uthna lagta tha mushkil
par apni ki galtiyo se main thoda-bohut seekhu
lo-lo main aaya, kalam ko uthaya, sangeet aazmaya
khushi milti thi jab soch ko kaagaz pe utaaarta tha
tabi toh issi mein samaya
sangeet hai sahara, jab mic pe dhadha, dushman 9211
dekta yeh jagg saara, khudko sambhaala, na girunga dubara
aage badte chalu, kaun rokta hai sala?
ab na raha main buzdil, khud hi nahi jaanta kitna hoon kaabil?
door rehta hu lafdo se, mann mera saaf tabi toh hu main khush dil
beat pe mann-maani, aaj flow mera paani
dard ko nichoodna meri aadat puraani, zaahir karu dil ki baat tume baat samjaani
lo suno meri kahani aur samjo ke kaun hoon main?

kaun hoon main? x2
aayi samaj ke kaun hoon main?
king nd



Random Lyrics

HOT LYRICS

Loading...