azlyrics.biz
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

knight mayor - chahiye jawab lyrics

Loading...

kon tay karta hai kya acha hai kya bura?
kya mrityu pe jeevan ye ho jaata poora?
kon baitha mathura?wo pass hai ya door aah
uski baate mashoor, par dikhta na khud ha (khuda)
aur kya hai insaan? sab lagte asur ha!
vishwaas pe ghaat ka ye rakhte hai chhoora
jo seene me dil, wo karta sawaal
na milte jawaab, kyo sab hai adhoora?

kaun hu mai? kaun hai insaan?
kaun yeh log? mai hun kahaan?
hai kya samaaj? bhagwaan kahaan?
duniya kya? mujhe chahiye jawaab

chahiye jawaab

mujhe chahiye jawaab

chahiye jawaab

mujhe chahiye jawaab

chahiye jawaab ‘kya iss aasmaan se upar ?’
kya hai insaan? kyu ye jeev itna khudgarz?
badalon ki chatt milti sabko baraabar
fir koi acchha; koi bura, ye kaise maane chun kar?
ye log na+samajh, pooje patthar ko dil se
iss galat fehmi mein ki kabhi honi naa saanjh
apne hi haathon se likhe apna naam
fir kaise patthar ke tukde yeh de honi taal?
insaan bass ek pyaada, kya hai jeevan ka mol?
jo boyega, wo khaayega, ye duniya hai gol
marta insaan, rеhti aatma amar
insaan mein hai sab sirf insaaniyat ko chhod
paani ki jagah ab b+rs+ yahaan khoon
aur iss khoon ki baarish ne hai sabko bhigaayе
jhoote bahe aansu unn samshaan ki raat mein
girebaan mein jhaank ke bhi, all they speak is lie
kaun hu mai? kaun hai insaan?
kaun yeh log? mai hun kahaan?
hai kya samaaj? bhagwaan kahaan?
duniya kya? mujhe chahiye jawaab

chahiye jawaab

mujhe chahiye jawaab

chahiye jawaab

mujhe chahiye jawaab

pee lu sharaab, ya nasha ye shabaab ka
hai paap, ye kahe kon?
kya punya ka raasta?
kya shunya na chahta, ban+na ek?
lekh mere
tekte na maatha
tum to poojte ho patthar, aur uss se hi dete ghaav
mera gao, tera sheher, kahi nahi mile chhaav
sach ko, par sach kya hai?
sach, sach me kamjor,to kaise ab tak zinda hai?
kon yaha nidra me?
samaaj kare ninda
karam khud k kon ginta?
aisa kya koi din tha?
jab hoti na thi chinta
dikhe yaha bhinnta
haq v hai chhinta
dikhti hai hinsa
par dikhta na khuda
na hi dikhta hai insaan
kaun hu mai? kaun hai insaan?
kaun yeh log? mai hun kahaan?
hai kya samaaj? bhagwaan kahaan?
duniya kya? mujhe chahiye jawaab

chahiye jawaab

mujhe chahiye jawaab

chahiye jawaab

mujhe chahiye jawaab

apni haalat ka kaaran hai khud ye insaan
abbhi dharti par zinda hai ye karzdaar
dikhe chaaron or ki hawa mein bass chall
hai ye duniya ek khel, haar ki keemat jaan
paida hui hai jo cheez, uski aani hai maut
par anant hai yeh insaani lobh
dekh rha mai raah kab se uss waqth ka
jab hariyaali aaye waapas aur mit jaaye shok
deewaar kiye mote par naa rok saka mrityu
jitne oonche udo, milna mitti mein fir yun
the more you run, the closer you get
sab iss duniya mein seemit, paayega naa chipp tu
kitaabon ke pannon ki baatein hain vyarth
kyunki sabko naa dikhti ye duniya samaan
fir faayeda kya? karke waqth zaaya
mai ye sochta ki kab milna jawaab
chahiye jawaab

mujhe chahiye jawaab

chahiye jawaab

mujhe chahiye jawaab



Random Lyrics

HOT LYRICS

Loading...