azlyrics.biz
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

maaz ghouri - sahara by maaz ghouri lyrics

Loading...

rap/lyrics: maaz ghouri | music : blue sky music | post : blue sky production

intro:
i don’t paint my dreams or nightmares, i believe in reality

“verse 1”

khoon ke ghoomth pe raha likh ra wohi geet me, tujhy ko he hara baqi to g-ya sub jeet me

such me bolun to duniya karti nahi aitbaar, kamzoor larty hathiyaar se me to karta kalam se waar

maaz ghouri naam hai karlay aa tu muqabla, larta tujh se gar to banda hota jan hisaab ka

teri kartooton ke waja se lagi meray dil me aagh, in jesay dushman ky liyan chalta mera sirf dimagh

ab na rukho duniya pe karunga eik din raaj, koi bhi ab sath nahi , milta nahi mera mizaajh

me jesay jee raha sooch ky bhi tu dar jayay, meray siwah or ho to wo saala yuhi maar jayay

kehtay hain kay gunay gaar kabhi nahi hai sooota, gunah gunah hota hai baraa ho ya choota

meray buray waqth me dushman apno se behtar thay, nahi rehna ab chal dia ghar se ye kehkar me

ghar se jub me nikla chora subne mera saath tha, pakarnay ko meray p-ss kisi ka bhi na haath tha

aj upar tu khara hun par koi aas p-ss nahi, jo zindagi bhar kamaya ab wohi mujhko raaz nahiii

————————xx——————–xx————————-

“chorus”

kaatain parhay hazaar, phir bhi na rukhta mee
dil me zakham hazaar, phir bhi na jhukhta mee
ye duniya jungle, or ghoomun is me awara,,
kabhi na kabhii, milay ga mujhko bhi sahara

“verse 2”

tanha betha rehta apnay aap se he kehta, duniya ke saray khel akela me sehta rehta

hah, nashay ke peechay chora meny apna ghar baar, jhooti sali duniya jhoota sala sansaar

kesay ye suhun, nahi pata mujhay kia hai raaz, cheekhta hun lekin andar he ghuth jata hai awaaz

khuda ke badalot aj yahan pe khara hun, aaghay dushman peechay police phir bhi na daraa hun

hah, kashti tooti phooti or jana hai phir shikaar pe, jo bhi tha mera chalay ga sub beekar me

wohi kashti hai, jisky tukray aj hun chun raha , dil ka apnay dard me geet me hun bun raha

duniya puri katil me mahafiz apni jaan ka, insaaf ka poochun to pata milta kabarustan ka

ye kesi reet hai ban’any wala nahi jaanta, ghalat sahi ka subko pata phir bhi koi nh manta

——————–xx———————xx———————-

“chorus”

kaatain parhay hazaar, phir bhi na rukhta mee
dil me zakham hazaar, phir bhi na jhukhta mee
ye duniya jungle, or ghoomun is me awara,,
kabhi na kabhii, milay ga mujhko bhi sahara

post: blue sky production (www.fb.com/blueskypakistan)



Random Lyrics

HOT LYRICS

Loading...