azlyrics.biz
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

maddoxhiphop – haal-e-dil lyrics

Loading...

ye khamoahi ka shor, jo khaye mujhe roz
kaafi kuch iss zehen me kya samjhoge tum aur
kabhi sunau haal+e+dil, kabhi likh ke du mai chhodh
tum bolo ise kavita mere liye dil ka rog

tauheen ye samaaj andhkaar ka prakop
girane wale kaafi par sateek dristikon
wo milke na mila barso se thi jiski khoj
naraz fir bhi na jo itna samay g+ya kho

mai bhatka hua musafir, be dili ke bazaar me
ek mila raahgir kiya uspe aitbaar ye
puch usse kitna ghumu iss sansar me
hai aas paas manzil bola, tu bas dhyaan de

fir mai bhi chal diya bhale na koi saath me
jo saath the unse badh g+ye the faasle
wo khushi me the shaamil na dikhe meri haar me
usoolon ka ye jeevan iss kala ke kaafi zaabte

mai chhodh aaya baatein dagah dene wala kaun tha
khauf tha usko mera ya wo zara bhi na sochta
kabhi sochu mere sapne poore hone hi hai aur kya
kabhi sochu mere sapne poore hone hi ek maujza

khair, kismat aur samay ki bhi baat hai
wo bole khwaab mere aukaat se bhi bahar hai
khuda dekhe bas mehnat na dekhta wo aukaat hai
mai fir bhi itna kabil seedhe chadh rha apne aap se
pahado se na puche nadiya kitni durr samandar
to tu kyu baitha soch me ki kitni durr manzil
kaapeim haath likhte hue aise dekhe maine manzar
wo chahe mujhe girana par zameen meri samtal

mai sochu kya rakha hai manmutav aur jalan me
pratidhwandhi kyu koi mera? mai bekhabar hu sabse
jo mere hisse ka wo milega issi janam me
bhale samay lage kaafi par iss dil ko ye sabar hai

afsanay ab sunao to kya sunoge har lafz?
tum samjhoge bohot kuch par samjhoge ni sab
mukhtalif in saaro se tabhi shayad dooriya mayassar fir bhi rehta wo bulaye mujhe jab

khushiyon ki barish me sabko hi pasand bheegna
aur dukh ke suraj se sab aksar dhoondhe chao
jawani jab aayi to socha bachpan hi theek tha
zakham mile iss kadar aaj tak bhar rahe hum ghao

baith ke dekhu roz hai hai samay ki raftaar kya
ghadi sab ke liye chale? ya mujhse wo naraaz kya
din beet rahe aise jaise ghante sirf 12 hon
kya tumhe bhi lage aisa? ek mera ye sawaal tha

sayana kaafi ab par kal hi to mai nadaan tha
mai aaya, dekha, jeeta ye mansoobe wo hai jaanta
daulat hi agar sab to iss kala ka kya mol
paiso se kaafi badhkar mere liye jo samman tha
nawaza khuda ne likhne ke liye bhali bhanti
kyu na likhu fir? jo baate aake chali jaati
kisi ke liye sab par kisi ke liye shuniye mai
na rahunga kal par ye bol mere amar jaani

tabhi guroor aur lalsa mujhse durr rahe
yaadein bichad g+yi waade jo the chhuth g+ye
wajah to pata na par ek baat malum
jinko paani diya khud wo phool khil ke bhi toot g+ye

wo chehre aise jo dekh ni sakte badhta mujhe
aur kuch aise bhi umeed jinko kaafi mujse
yaha tak aaya kaise jaanu mai na pata unko
niraash kaise kardu karke baitha waade khudse

aakhri baat ki mai likhta sab sunane ko ni
kuch baatein aisi likhta dil me jo bas jaane ko hi
sukoon issi me bas jaano mera haal+e+dil
kya pata iss bahane kuch mil jaye gungunane ko hi



Random Lyrics

HOT LYRICS

Loading...