mannushya - khudd ke khilaaf lyrics
[verse 1:]
sone naa deti ye aawazein goonjti hain rehti mere kaanon mein
jaise dhwani pradooshan kaa mareez hun main
bhartii(bharti) iss bade se dil mein khauff
aur paagalpan chhote se dimaag mein
doosron se zyada khudd se hoon hairaan main
ho jaise haiwaaniyat chhipi insaanon mein
khudd se jo hua iss kadar hoon anjaan main aaj
sheeshay mein dekhun jo khudd ko naa pehchaanu main
poochti ye rehti kyun ho chupp? kuch bolo naa
aur chupp ye hoti tab jab shurun karun bolna
hanss lun jo dil se ek baar kehti rolona
meri zindgi apni se na tum tolna
khudd ko khokar hai paaya maine na socha
duniya kya sochegi mere baare mein
duniya kaa kaam bas bolna
sachh kii chaabhi hai tumhaare haanth mein par
aasan nahi duniya ke iss darwaaze ko yun kholnaa
lafzz ye saare meri zindgii kaa shor
seene mein dafnn aisii kahaniyan
jo likhtaa naa koi aur
cheekhtii hai fizaaein tumhe jagaane ko zor se roz
par tum so rahe meri tarah uss chhorr pe
[hook:]
maine chhedii jo hai jungg ye khudd ke khilaaf
sachh se hoon waakif ab hosake toh kardena maaf mujhe
(mujhe) chalna hai iss raah pe
der se hoon jaaga to jalnaa hai ab iss aag mein
(x2)
[verse 2:]
iss andhere mein ghere hain mujhe kaii sawaal
chup+chaap dara sehma saa tha kyun main kai saal?
kho diaa tha sab kuch saalon pehle
aur kyun paaya hai akela maine khudd ko aaj?
iss andhere mein ghere hain mujhe kaii sawaal
chup+chaap dara sehma saa tha kyun main kai saal?
kho karr paaya hai maine khudd ko aaj
mehsoos ye karna mere hadd ke paar
mein insaan jo thaa wo na insaan hoon aaj
zakhmii iss rooh kaa na ab koi ilaaj
iss chhotii si zindgii ki lambi iss raat mein
mein khudd se akela baitha karun ye baatein
sachh se waakif naa hota main kaash kabhi
mujhe bacha le mujhse aaye kaash koi
maine kho dii hai roshnii khudd ki talaash mein
aur pada hoon zamin par jaise laash koi
dene ko kuchh nahi bacha hai ab mere paas
shukraguzaar hoon unka jo khade thay mere saath
mautt se ladkar ab aaya hoon main iss paar
besabrii se iss waqtt ne kiya hai intzaar
hai aakhon mein nafrat aur saanson mein raakh
bedabi sii thii seene mein ab jal rahi hai aag
ye jungg hai chhedii jo chhedii khudd ke khilaaf
ye haqeeqat hai meri naa ab koi ittefaq
[hook:]
maine chhedii jo hai jungg ye khudd ke khilaaf
sachh se hoon waakif ab hosake toh kardena maaf mujhe
(mujhe) chalna hai iss raah pe
der se hoon jaaga to jalnaa hai ab iss aag mein
(x2)
Random Lyrics
- pahpay - gospel lyrics
- the hellscaper - are you still there andrew? lyrics
- sc0ttryan - loser lyrics
- ebony-sama - folder lyrics
- merm4id - 4u lyrics
- predia - as one lyrics
- rob-e - meet me at the beach lyrics
- young mic - champions lyrics
- yun mufasa - chain gang lyrics
- mc slut decomposer - lonely (correct) lyrics