azlyrics.biz
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

muhammad samie - abu turab ali lyrics

Loading...

saaqi e man abu turab ali
saaqi e man abu turab ali
saaqi e man abu turab ali

kul e eeman, ain quran
fakhr e mahtaab ali

saaqi e man abu turab ali
saaqi e man abu turab ali
saaqi e man abu turab ali

kahan insan ko samajh tera maqaam aata hai
tujh peh haider meray khaliq ka salam aata hai

pehli saf mein na sahi, aakhri saf mein hi sahi
tere rindo’n mein kahi’n mera bhi naam aata hai

daftar e haq jo khangaale tou yeh maalum hua
baad e ahmad (saw) meray haider ka hi naam aata hai

bistar e khatm e risalat (saw) nahi rehta khaali
jab nabuwat kahin jaati hai imam aata hai

kaun laaye, kaun laaye

kaun laaye tera jawab ali
kaun laaye tera jawab ali
saaqi e man abu turab ali

kul e eeman, ain quran
fakhr e mahtaab ali

saaqi e man abu turab ali
saaqi e man abu turab ali

rind tera tеri rindi peh kyun na naaz karay
jaam tera tou zamanay se bе+niaz karay

teri hi zaat e mubeen hai keh jiska naam faqat
kharay mein aur munafiq mein imtiaz karay

yeh unkay khoon ka masla hai warna kyun koi
meray ali ke wilayat peh aiteraz karay

rukuh mein aaye sawali tou sunn adaa e ali
keh woh zakat adaa bar sar e namaz karay

hai misaali, hai misaali

hai misaali tera shabaab ali
hai misaali tera shabaab ali

saaqi e man abu turab ali
kul e eeman, ain quran
fakhr e mahtaab ali

saaqi e man abu turab ali
saaqi e man abu turab ali

teri dargah ki aseeri se sukhan+war bhi huay
meesam o qanbar o salman o abuzar bhi huay

ghous o abdaal o qutub, khwaja, qalandar bhi huay
hadd tou yeh hai keh tumhi se woh 72 bhi huay

jaam e jam laakh fanaa haideri paimanay peh
aatish e haq hai ayaan safdari parwanay mein

teray masto’n ko ali kab hai gharaz dunya se
ek alag dunya hai basti teray mastanay mein

hai wilayat, hai wilayat

hai wilayat ka aftab ali
hai wilayat ka aftab ali

saaqi e man abu turab ali
saaqi e man abu turab ali
{second section}

ali ali! maula ali ali!
ali ali! maula ali ali!

ali ali maula ya ali ali maula
ya ali ali (x4)

dildar e kibriya o muhammad (saw) ho tum ali
ashaab e mustafa ke bhi maula ho tum ali

mushkil mein kyun ali ko pukaaray na zamana
khaybar mein mustafa ne pukara hai ya ali

hijrat ki shab ali ne guzaari hai iss tarah
dunya samajh na paayi muhammad (saw) hain ya ali maula

ali ali! maula ali ali!
ali ali! maula ali ali!

ali ali maula ya ali ali maula
ya ali ali (x4)

aijaz e mustafa mein shariat kharri rahi
darwaza e zahra peh risalat kharri rahi

dosh e nabi peh sajday mein aa kar charhay hussain
baithay rahay hussain, ibadat kharri rahi

maula e dou jahaan ko hakumat se kya gharaz
thokar mein jis ke hashmat o sarwat parri rahi, maula

ali ali maula ya ali ali maula
ya ali ali (x4)

taa surat o paiwand e jahaan bood ali bood
taa naqsh e zameen bood o zaman bood ali bood

shahi keh wali bood o wasi bood ali bood
sultan e sakhaa o karam o jood ali bood

aan shah e sarfaraz keh andar shab e mairaj
ba ahmad e mukhtar (saw) yak e bood ali bood

aan “lahmuka lahmi” bishnau taa keh bidaani
aan yaar keh oo nafs e nabi (saw) bood ali bood

ali ali maula ya ali ali maula
ya ali ali (x4)

ali shah e haider imaman kabira
keh baad az nabi (saw) shud basheeran nazira

ali ibn e amm e muhammad (saw) rasool ast
choon moosa akhi, guft haroon wazira

ali auliya ra daleel ast bar haq
ali anbiya ra waliyan naseera

muhib e ali jannati baad e murdan
buwad aiman az khauf e munkir nakeera

ali ali maula ya ali ali maula
ya ali ali (x4)

zahe izzo jalale bu+turab+e+fakhr+e+insane
ali+e+murtaza mushkil kusha+e+sher+e+yazdane
wali+e+haq wasi+e+mustafa darya+e+faizane
imam+e+do+jahan+e+qibla+e+deene wa imaane
ameer+e+kishwar+e+faqr+e+shah+e+iqleem+e+irfane
khuda goye khuda beene khuda daane khuda shane
payambar bar sar+e+mimbar nashist+o+khvaand maulayash
ke ta maulayash ra bashad andar khalq burahane

han qismat mein likhi hai us ki zalalat
jo rakta hai dil mein ali se adawat
ali se adawat khuda se baghawat
kase ra mayassar na shud een sa’adat
ba ka’ba wiladat ba masjid shahdat

atta hai lab se nikalna ke haideri hun mein
tere amal se na jhalke ali to kya hasil
milen ge naa’ra+figan bahut, “hum hussaini hain”
yazid+e+waqt pachhaada nahin to kya hasil
ghurur+e+ilm se labraiz mufti+o+mulla
teri nigah mein panjtan nahin to kya hasil
kahan ki teri ibadat kahan ke sajday hain
basi na dil mein ali ki vila to kya hasil

kya ho gaya hai haal+e+musalman kya kahoon
hain pur+malal ya ali ahwal kya kahoon
zahir hai paraganda to batin bhi siyah hai
kehne ko magar ummat+e+mehboob+e+khuda hai
ehsas ki dawlat hai na kuch ghairat+e+eeman
na barq hai seenon mein na himmat na vaza hai
taajir hain zameeron ke sar+e+aam musalmaan
haq baat kahoon in se to murda bhi bhala hai

na sift+e+khafi in mein na ausaf+e+jali hain
bolen ge to aise ke zamane ke wali hain
be+khabar hain khud se to jahan bhar ki khabar hai
khali hain amal se magar auron ki fikr hai
afkaar jawanon ke zaboon+haal hain maula
shaheen ki dosheeza+e+maghrib pe nazar hai
hai dukhtar+e+islam+e+mubeen nafs ki laundi
afsos ke wo zeenat+e+har raah+guzar hai

zahid ka zohd hai to dikhane ke liye hai
mufti ka hai fatwa to kamane ke liye hai
lagu hain kahan us pe ye ahkam+e+shariyat
naseh ki nasihat to zamane ke liye hai
haider si sakhawat na alamdar si jurrat
hasnain si shaukat hai, na akbar si basarat
abid si ibadat hai, na jafar si sadaqat
zahra si taharat hai na zainab si balaghat

thukra ke hum ne qaul+e+nabi zee+maqam ko
thama hai hum ne ya ali har khas+o+aam ko
chorha ali tujhe teri itrat se katt gaye
phir yun hua ke hum to tehattar mein batt gaye
dushwaar hai is halat+e+bad+haal mein rehna
ya haider+o+safdar ye khuda pak se kehna
parwardgar waqt+e+zahoor+e+imam a.s. hai
pasti mein deen+e+ahmad+e+khair+ul+inam hai



Random Lyrics

HOT LYRICS

Loading...