azlyrics.biz
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

muhfaad – dussehra lyrics

Loading...

[intro]
aur badtmeezi bardast nahi karenge hum!

[verse 1]
raaa!
abhi adhoori kahani hai, sar se upar paani hai
paara toh chadhega, sabko hi chadhi jawaani hai
ab aana toh padega baatein duniya ko batani hai
log hi bata denge phir ke kaun nakli praani hai
jo bola maine phone pe main baaton pe tikunga
zindagi bhar hogi typing par screenshots nahi lunga
duniya ke aage baat hogi sareaam maat
jeetunga shaan se ya haar ke samman mein jhukunga
kalamkaar waale weak ho rahe hai
raftaar, kr$na antique ho rahe hai
pahle studio mein band the jo gaane indipendent
ho g#ye azaad kuch jyada hi ab leak ho rahe hai
rap khel hi wo j#sme sabko banna 1 number
chaar launde signed rahenge raftaar ke hi under
duniya jeetna chahte par sach nahi bataate
pahle real to ban jao baad mein ban lena sikandar
(kahlon)
kahan thi maryaada jab baat gharwalon pe aayi?
kahan tha bhaichaara jab bhadkaaya harjayi?
maryaada ki wo baatein saari jhoothi thi
kehne ko nahi dil se maana tha tumhe bada bhai
(raa!)
dilin nair, such a liar tabhi aacha lawyer
par main pakka shayar chhod ke bhaage lanka kaayar
raftaar jitni bhi ho chakke jaam main ceat ka tyre
i was born fire tabhi open fire(open fire)

[bridge]
main irritating nahi hoon tum me sunne ki shakti nahi
pyaar mein jataane wali aadat mujhe janchti nahi
sab mein hai bhagwan isiliye hoti mujhse bhakti nahi
meri kala mera taaj mujhse tum bhi chhen sakte nahi
meri razaon ke aage tera khuda kya hai?
mujhse wo puchta nahi hai teri raza kya hai?
mehnat mein toh sirf zoor lagta hai body ka
dimaag se haraaya inhe, puchte ke wajah kya hai?

[pre#chorus]
bewajah tum faaltu mein ghuste ho
sach hai bhai, sabka sochne se better rap karo aacha bhai
mauke bhi dilao sabko dhokhe bhi khao
kyunki sabka bhai nahi hota kisi ek ka bhi sachha bhai

[chorus]
zakhm the gehra, dil tha ye keh raha
niklega diwaali aaj manega dussehra
zakhm the gehra, dil tha ye keh raha
niklega diwaali aaj manega dussehra
zakhm the gehra, dil tha ye keh raha
niklega diwaali aaj manega dussehra
zakhm the gehra, dil tha ye keh raha
niklega diwaali aaj manega dussehra

[phone call]
“abe ankit mera dimag khaa raha hai ki bc ek taraf hoja ya muhfaad se mil le, ya hamare saath reh le bc chutiyapanti
phir beech mein keh raha ki agar tere ko aise hi, tere ko koi saamp banna hai toh chala ja ek kaam kar aur if you, if you bola leave us then you’re dead bro, tera career khatam hai, hai yaar chutiyapanti bc”

[verse 2]
jikra harjas ka kiya tha pehle verses mein
peeche reh g#ye mote bhai dimag ki tum warzis mein
isi beat pe tu diss kar raha tha na kalamkaar ko?
aur ab fatt bhi rahi hogi muhfaad tere verses mein
g#yan kam baato yayahn saare hai g#yani
tumne sunni nahi kisi ki bas apni hi sunaani
nirasha hai ki badshah ki baat nahi samjhe
“banda banta tezz par hai kudrat badi sayaani”
hawabaazi wali husky awaaz hai
kuch munh mein liya ya gale pe ankit ka haath hai
dhandhe waale jyada din dete nahi saath hai
maa behan beech mein la rahe hai jo kya saale anath hai?
izzat maryada ki kidmat mein haath mat karo
logo ko fuddu bana ke palta baat mat karo
halka haath mat rakho sachhayi mein hai taaqat
isse behtar hai ki muhfaad ko yaad mat karo
likhaayi ki rahegi sada beef open
khaali hai coffin let jao sleep talking
duniya ki sun sun ke ho g#ya main behra
har beat lage heaven, main lyrically beethoven
gaane ban rahe ni par saane saare ban rahein
kalamkaar karma leke bhi ye kaale kaam kar rahe hai
izzar hai kamaayi bhai khauf toh hai laazmi
camera ke peeche ye khud saare kaam kar rahe hai
(raa!)
gaano mein feminist, ye asliyat se door hai
parivaar toh banaya par shikhaya nahi usool hai
gaali maa behno ko pade share karte ye jaroor hai
ye respect women bol ke shayad khud g#ye bhool hai
dnh matlab, daaru and hash
dushro ke dream aur hustle pe attack
khud kare nashe ye mana kare dushro ko
kahan se hai real ye, kaha g#ye facts?

[pre#chorus]
likh likh ke hai badli maine haatho ki lakeere
haq ki hai ladaayi ladni hoti hai sabhi ne
ye karma hai jo pad g#ya ulta inke seene
meri maa ke aansu jhoothe hai to sahi kiya honey ne

[chorus]
zakhm the gehra, dil tha ye keh raha
niklega diwaali aaj manega dussehra
zakhm the gehra, dil tha ye keh raha
niklega diwaali aaj manega dussehra
zakhm the gehra, dil tha ye keh raha
niklega diwaali aaj manega dussehra
zakhm the gehra, dil tha ye keh raha
niklega diwaali aaj manega dussehra

[outro]
uthi chingaari seene mein toh aanch ban g#ye
mere hathiyaar ye kalam aur saaz ban g#ye
janme toh hum bhi aam insaan hi the
insaaniyat samajh li toh maharaaj ban g#ye



Random Lyrics

HOT LYRICS

Loading...