mujahid hasan, danish roomi & prod. azlan - why me? lyrics
[chorus: danish roomi]
shor barpa hai jaanay kyun har taraf?
sun ke tu kahani unki sub mangharrat
han yaqeen kyun karun?
teri jhooti adaaon pe vaari mein jaoon ga kyun?
yahan bhi tujhe dil se nikalun aur yaadon ke baksay may band mein karun
shor barpa hai jaanay kyun har taraf?
sun ke tu kahani unki sub mangharrat
[verse 1: mujahid hasan]
barbaad mujhe sar+e+aam kar gaye ho
tumhein kya laga bara kaam kar gaye ho?
shayar hai bolta, sheher ab mujhe jaanta
badnaam karna tha, tum mera naam kar gaye ho
wafa may kuch nahi, paigham kar gaye ho
munafiqon ka ehteraam kar gaye ho
maikada khaali tha, yeh botalein theen taak may
mein aaun ga, bethun ga, intezaam kar gaye ho
khareedein aashiq, kya kamaal likh raha hoon
lafzon ka mere acha daam kar gaye ho
jo kuch diya tumhein, iss qadar nayaab tha
ameer ho gaye ho, kya nilaam kar gaye ho?
seedhi+saadhi zindagi haraam kar gaye ho
di hui zubaanein sub tamaam kar gaye ho
zubaan thi meethi, par inn haseen honton se
karway yeh mere saaray jaam kar gaye ho
tootay dilon se hum+kalaam ho raha hoon
ussi qalam ko ab salaam kar raha hoon
chora tha jinhein tera haath thaamne ko
unhi kaaghazon may betha hua shaam kar raha hoon
[verse 2: danish roomi]
woh jo dhoondh hoon mein raha, tujh may hai nahi
mujhe raaz ab tu bana, munaazra nahi
ab yeh hansta chehra tera tujh pe jachta hai nahi
mein tou poora tujh may raha, mere dil may tu nahi
rehne bhi do, teri aankhon ke halkay batayen
kitni raaton se tum soye ho naa, soye ho naa
mein qaabil nahi, ke muqaddar tera khud mein likh doon
uss jahaan may mein tujh se milun ga, mein milun ga
[chorus: danish roomi]
shor barpa hai jaanay kyun har taraf?
sun ke tu kahani unki sub mangharrat
han yaqeen kyun karun?
teri jhooti adaaon pe vaari mein jaoon ga kyun?
yahan bhi tujhe dil se nikalun aur yaadon ke baksay may band mein karun
shor barpa hai jaanay kyun har taraf?
sun ke tu kahani unki sub mangharrat
Random Lyrics
- alexalone - black rainbow lyrics
- blgbang - v.i.p lyrics
- david tmx - 4 degrés 7 lyrics
- vinny marchi - bear don't care (interlude) lyrics
- s4m1 - flammens skær lyrics
- salunare - england lyrics
- divlja kruška - emira lyrics
- oxxie - rotten lyrics
- hanorah - afterlife lyrics
- dhanda nyoliwala - bitch lyrics