azlyrics.biz
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

nabeel akbar - sabar lyrics

Loading...

[verse 1]
kitna ajeeb lage sab kuch theek
g+ye sab se mai jeet magar khud se ham haar g+ye
dil ke qareeb raha koi bhi nahi
magar itna ho jhoom jaise aayi paar raat hai
ek aur geet tere deed ki ummeed
likhte mai jab kabhi karte ho yaad tumhe
duniya mureed sab kare tareef
sun ke wo bole mujhe “bhai kya baat hai”
toote hue dil ke ye bane sangeet
sunte jo hote mere gham me shareek
mujhme nahi bacha meri zindagi se pyaar
mujhe maar do ab chahe mujhe kar do shaheed
nahi chal sakta bhoj leke aur ye mazeed
mujhe tumse nahi badh ke tha aur kuch aziz
har pal rahegi ek teri kami
meri aankh me nami lekin muh pe hansi
nahi kar sakta zaya aur waqt apna
maine chor diya paane ka tujhe sapna
apno ke beech me bhi lagu ajnabi
mera koi bhi nahi magar mai sab ka
karu kya? mera kahi bhi na mann lagta
rahi kisi ki bhi nahi koi parwa
meri nazron ke saamne ho tum har waqt
mujhe apne hi aap se kyu darr lagta?
[chorus]
har fard aa kyu phir sabta?
the tum nahi jab tanha tha
mai to kehta hun phir bhi wapas aa
banna aise [?] ka
kiska jaa pahunche tujh tak
phir tu nahi hai musaafir iss safar ka
mai rawaana hun qabar tak
naa kar aitebaar sabar par
aa bajta
har fard hi kyu aa bajta?
mere khamiyon ke ghar me
puri duniya mere sar me
phir tu puche “kyu sar hile jab ye beaten baje?”
mai rawaana hun qabar tak
naa kar aitebaar sabar par

[verse 2]
mujhe malum nahi khud ki mai hun kahan
mere sabar ka paimana toot raha
naa waapsi ka rasta na manzil ka pata
mai teri talaash mai gum chuka
mai gumshuda
mai dhoodh raha
kar ke saaron se raabte munqata
wo lamhe jis me ho qubool dua
zamane ki nazr me to bas ek diwana
chahta kisi tarah tum ko mai bhulana
par kisi bhi tarah tumko mai bhula nai
chehra tera ab tak yaad ata rozana
tadhpe ye dil mushkil hai samjhana
ae jaana mujh ko bhi saath apne le jaa na
duniya se door bhula ke sab usool
kare mai aur tu apni ek duniya shuru
aisi jagah jidher koi hame jaanta na ho
jahan khatra kisi ko kabhi jaan ka na ho
jidhar daulat ko khuda log maante na ho
jidhar faasley kisi se kabhi zaat ke na ho
milegi zindagi nahi phir kabhi dobara
agar mile tujhe moqa to tum jaane na do
dekh aasmaan me jo kabhi toot’ta sitaara
kya waqt hota sahi dua mangne ka wo?
[chorus]
har fard aa kyu phir sabta?
the tum nahi jab tanha tha
mai to kehta hun phir bhi wapas aa
banna aise [?] ka
kiska jaa pahunche tujh tak
phir tu nahi hai musaafir iss safar ka
mai rawaana hun qabar tak
naa kar aitebaar sabar par
aa bajta
har fard hi kyu aa bajta?
mere khamiyon ke ghar me
puri duniya mere sar me
phir tu puche “kyu sar hile jab ye beaten baje?”
mai rawaana hun qabar tak
naa kar aitebaar sabar par



Random Lyrics

HOT LYRICS

Loading...