azlyrics.biz
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

narci - kalki chetavani lyrics

Loading...

[dhirendra krishna shastri]
kalyug jab apni charam seema par aayega
aisa kalyug aayega, na maryada hogi, na behan, na bhai, na bhabhi, na bhaiya
aisa kalyug aayega, insaanon ki maans ki mandi lagegi

[mahendra kapoor]
kitni hi baar dayanidhi ne sansar ko aake ubhar liya
jab jab dharti par dharm ghata tab tab prabhu ne avatar liya
karo hari darshan, karo hari darshan
karo hari darshan, karo hari darshan

[narci]
ungli mein sudarshan dhaaran, ek hath mein shankh sada
ek hath mein kamal tika hai, ek hath mein mere gada
roop hazaro lekar main hi aata dharti pe
sthapit karta neki main jab bhi dekhun paap badha
treta mein maryada laaya, dwapar mein updesh diya
leela dvaara har samay mein swyam ko maine pesh kiya
bhakto ki chinta ko maine baikunth se dekha hai
narsingh bhi bana hoon main, maanav ka bhi bhes liya
dharm dabaane ka na bana ab tak waise shor koi
paapi kaise samjhenge meri leela ka na chhor koi
aur koi jo bhakto ke mere badhte leke haani ko
hari bhajan hi dhaal bane, jiska hai na tod koi
naino ke aage rehti hai karmon ki bhi jhaanki
avagat hoon main kaun sahi hai, kaun dhara mein paapi
leela mein sandeh karo na, sahi samay mein aaunga
dasham roop ki leela meri dharti mein hai baaki
vartmaan ki baat karun to jaari hai abhi pehla bhaag
maanav sote hai maya mein, kali g+ya hai kab ka jaag
rangmanch pe duniya ke wo naatak dekhe paapo ka
kaam vaasna baant raha banke wo vishaila naag
jin jin ko pehchaan kali ki wo na faste fande mein
bhakti ko na jaan sake jo naino waale andhe hai
bhaav bhare virodhi ka bheetar tere dharm prati
maan g+ye to sath chalenge paap baith ke kandhe pe
koi bhi na vairi mera, saare mere praani hai
karta hoon sachet magar doori rakho haani se
beete saare yugo mein paapi khud ko samjhe they nayak
dharm bana tha nayak par meri har kahani mein
saamne na kali abhi roop liye wo aaya hai
banke wo abhautik maanas mein samaaya hai
khel raha wo man mein baithe sab bure vichaaron se
tere andar ka maanav usne hi chabaya hai
[mahendra kapoor]
kitni hi baar dayanidhi ne sansar ko aake ubhar liya
jab jab dharti par dharm ghata tab tab prabhu ne avatar liya
karo hari darshan, karo hari darshan
karo hari darshan, karo hari darshan

[narci]
dharm ke teero se tum bhar ke apni haan tarkash chalo
mujh mein jo samaana hai to khud mein bhakti ras bharo
samjhaane pe bhi yadi tum na samjhe neki ko
sudharsan ye chalaane ko na mujhko tum vivash karo
maana ki adharmi saare bhog rahe hai saara sukh
saaf hridy ke praani mujhse saanjha karte saara dukh
dhyan mein rakhun bhakton ke aansuon ki boondon ko
sahi samay aane par tumko sakha milega saara kuch
saaron ki main sunta hoon, main peeda se anjaan nahi
leela meri jaan sako itna ye aasan nahi
deta yadi prashnon ke na uttar tumko main sakha
iska arth ye nahi ki mera tumpar dhyaan nahi
pralobhan ye kali ke sau denge tumko poora noch
saty dhara pe khade rahe to paap banege kabhi na boj
pralobhan jo maan liye, bhakti se jo door hue
kaali yug ki antim raat kaisi hogi lena soch

antim hoga kaisa din socho tum ek baar zara
paap ke kaale meghon se aakash bhi hoga saara bhara
maanvon ki jaati badali hogi asuron mein
nirdoshon ke laal lahu se gili hogi saari dhara
na bachenge hari bhajan, shraddha, nishtha, vidhi ya reet
na bachenge rishte, vaade, kasamein, chinta, prem ya preet
na bachegi kala vishuddh, na samarpit hari ko geet
kalyug ke hi maanav honge tab mere vipareet
kali zara tu dhyaan se sun kaal tera bhi aayega
kakli ke ke hathon sanhaar likha tera jaayega
hiranyakashyap, ravan aur kans bache na dhara pe they
kaale yug mein treta fir dohraya jaayega
paap ki jalti jwala tu praaniyon ko baantein dukh
le sahara nirdoshon ka bheed mein jaata to tu chhup
har yug mein aata hoon main dhwaza uthaane dharm ki hi
shrishti saari meri hai to naam se tere kyun ho yug?
devdutt ke pairo tale raundunga main teri sena
paapiyon ka lahu prapaat tay unke hai dhad se behna
maana ki insaanon ki bahumat khadi tere peeche
kheench sakega bhakton ko par na tera moh ka gehna
har adharmi seene pe dharm ka teekha bharunga baan
ranbhoomi pe hogi bhent, honge guru parshuram
treta mein mere liye thi lanka jisne khaak kari
kale yug ke yudh mein sath khade honge hanuman
[mahendra kapoor]
kitni hi baar dayanidhi ne sansar ko aake ubhar liya
jab jab dharti par dharm ghata tab tab prabhu ne avatar liya
karo hari darshan, karo hari darshan
karo hari darshan, karo hari darshan

kitni hi baar dayanidhi ne sansar ko aake ubhar liya



Random Lyrics

HOT LYRICS

Loading...