azlyrics.biz
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

nkr (ind) - tabah kiya lyrics

Loading...

na barsaat ruki
na ruki aakh meri
kaano mein gunjti
bs awaz teri

tu mere sath nahi
na tere bad koi
seene mein dard hai
daba hai raaz koi

tum mera dard ho
tum mera ghar nahi
tum mera zakhm ho
mera sabar nahi

oh mere meherma
oh mere raanjhna
ye teri berukhi
ye meri dillagi

mere jo dil mein basi hai ye berukhi betuki baaton pe
rota na dil mera bas ye pirota hai tere alfazon ko panno pe
rota hu roz bhigota hu apko
aap hi shayari meri
haan ashqo mein lipte jo mere toh bheege se lagte ho
kitne haseen savere se lagte
na baahon mein mujhe tum mere se lagte ho
laal laal meri aakh dekh
meri maa kehti mai sota na
mujhe dede sabar baahon mein bhar le
koi raat nahi jab sochaa na
meri palke bheegi tera zikr kar k
meri jaan main tha kabi rota na
agar hota bewafa mai bhi
mujhe lagta hai tujhko mai khota na

tabah kiya
mujhko tabah kiya

khud ko fanaa kiya
haan aisa kya gunaah kiya
kya tune mujhko bhula dia
haa mujhko tabah kiya
kya tune mujhko bana dia

kar guzarta bewafa jo hai mana
mai mustafa tha ishq ka
de panah mai bepanah hu
khuda mujhe de salah na de dawa

mujhe jachte hain mere zakham mere dil ke
mai krta na shikayatein in aasuon ko gin ke
mai zinda hu bedardi jab tere jeene pe saza rahu mai
krta hu ibadatein tere ashqo ki wajah rahu mai
mujhe ishq tumse beparwah
taa umr hi tabah rahu mai

bs tujphr meherbaan rahu
teri saaso mein rama rahu
teri baahon mein mai dilnashi
meri chahato ko maar tu

mujhe tere alawa na kuch or de
mere labon ko labon se tu chum le
ek aafri dafa mujhe pyaar de
le tu baahon mein bhar mujhe maar de

kyu tere naam pe hi likhta hu mai
tere bina banjar sa kyu dikhta hu mai
mere dil m sawalo ka jo kafila bhara h
un jawabo ke liye hi likhta tujhe

haan maine ky gunaah dia
kya mita lia
khud ko tod tujhko bana dia
maar ke dil mein tujhe yu khud ko

tabah kiya
tabah kiya
mujhko tabah kiya
mujhko tabah kiya
khud ko fanaa kiya
haan aisa kya gunaah kiya
kya tune mujhko bhula dia
haa mujhko tabah kiya
kya tune mujhko bana dia



Random Lyrics

HOT LYRICS

Loading...