azlyrics.biz
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

rajjo - pinjra lyrics

Loading...

[chorus]
socha kabhi
kitne hain parinde ghut ta jinka dum
yeh pinjro mein band
kya nahi
chal de sunne dastaan mere sang
aise hi kisi parinde ki

[verse 1]
chahe udna khule aasmaan mein ek parinda
naseeb se mohtaaj hai bechara ek par ka
kaise katega inn tez hawao ko
sochta na koi karta ek bhi na parwah
kaue bole karle katleaam khwahisho ka
apne ek par se udne ki farmaisho ka
kewal naam ka khuddar tu
baitha banke hai shikaar iss kudrat ki bandisho ka (oye)
mauka milega udunga tezz, kare parinda elaan
udega toh failaega jhanda, banke k’naan
hogi race sudan se andaman
bas bahar nikalne dе mujh ko malik ek baar
maana ek pankh rakhte saja kе woh
main thak g+ya hu ginke inn salaakho ko
aashiyana lagta tha ye pinjra pehle mujhko
roz bin batae jaane se ab roku khud ko
kyuki rakhte woh khayaal, din aur raat
dooba hu main unke karz mein
unki dekhbhaal chalu halu jab se
aankhe band thi meri andhere mein
aur aaj mere jeevan ki eklauti woh mashaal
sunke ye guhar malik ne socha
ki fitrat badalna kisi ki galat hota
woh bole behad unchaiyan tu chhoona
jo naape na napey, mere pyaare tu na bhoolna ki
[chorus]
kitne hain parinde tere jaise
ghut ta jinka dum
khud ko lagte woh malang
latke jhoole ban ke
ab nahi humare sang
socha kabhi
to socha kabhi (kya)
kitne hain parinde ghut ta jinka dum
yeh pinjro mein band
kya nahi
chal de sunne dastaan mere sang
aise hi kisi parinde ki

[verse 2]
aadi tha azaadi ka na yeh parinda
kyuki pinjre ka scene malik ne rakha chill tha
time pe dana, time pe paani, bigdi hui thi aadatein
survival of the fittest, ye kaise rahega zinda?
do kadam pe woh
upar dekhe aasmaan main clouds
andar se woh chaahe clout
seedha maange na, soche main udaan dikhau
kauo ki ho bolti band, khatam inka
ek hi baar main doubt
ab udte+udte hero soche, malik, bole kya the mujhse
gunah to nahi tha, jo kardi mann ki baat zahir
galti toh nahi ho g+yi, aake mujhse ghar se bahir
oh bete
isi duvidha main nikla waqt
duniya se woh banke sakht
kara migrate wapis apne desh
kaue bole, my great, idhar ho g+ya kalesh
aap ke malik rote rehte din bhar
jab se g+ye ho aap pinjra bhi pada hai banjar
unko aati yaad aap ki hai kaafi
khidki ke sirhane baithe rehte tikake woh nazar
sunke aankhe nam hui parinde ki
aake lipta wapis baazuon mei malik ke woh jaldi
maano beta aya milne wapis baap se
uss lamhe ki iss duniya mein koi keemat hi nahi
[chorus]
to socha kabhi
kitne hain parinde pinjra jinka ghar
azaadi ek bhram
kya nahi
toh kaisa laga sun ke dastaan
aise hi ek etihasik parinde ki
to socha kabhi (kya)
kitne hain parinde pinjra jinka ghar
azaadi ek bhram
kya nahi
toh kaisa laga sun ke dastaan
iss etihasik parinde ki



Random Lyrics

HOT LYRICS

Loading...