azlyrics.biz
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

rath - you lyrics

Loading...

[verse 1: rath]

le gayi rooh bacha ni kuch
bataane ko ab bacha ni dukh
sataane ko ab bacha ni tu
to lage badal doon khudko
mai badal loon rukh

mera mujhe aake mil le
sun le to dil ka mera haal

tujhe saal se ni dekha lage
hafte beete 8

abhi haal kara maine mera
sabse bura paar

aur hai bachi bas
shikaayatein
teri yaad me likhta aayatein
aur bas tu khoje faayde
hai yaad badhaati ye baarishein
ghar baar janaab bhula diye
sab raakh hai aag ye saaye tere
aur tu hai bas meri khwaahishein
aur bas tu meri khwaahishein

[bridge 1: psycho]

tu hi tu aankhon me meri sirf jaana
tu hi tu khayaalon me mere harr dafa
tu hi tu jab khaamoshi me rеhta mai akela tab
tu hi tu, kyun hai door?

[hook 1: rath & additional vocals (rsonthemic)]

tu + agar jo miljaaye
tu + to phir kya chaahe hum
tu + agar jo miljaayе
tu + to phir kya chaahe hum

[verse 2: rath]

chaahe kya hum
yaadein teri jaayein na ghum
kya hai haasil
jab the toote aaye na tum
faalij iraade waade saare nibhaaye na tum
hum likh ke baithe tumhaare khaatir
gaaye na tum kyun?

zinda to hoon
tere bina jeena jeena nahin
jeeta to hoon
tujhe haara jaana
jeeta kya hi?

peeta nahin
kosna tujhe tha seekha nahin
madhosh mai jeeta tha kal bhi
aaj bhi hosh me jeeta nahin

mai+tu
aur duniyabhar me taareeki

tu+mai
khuda ne kardiya khaarij hi

yoon na
tu dil ko karna faalij hi

dil ko mere lubhaaya
phir rang dikhaaya tu lagta ekdum maareech hi

chaaron dishaaon me
tera hi chehra hai
teri awaazein bulaati hai aaun kya?
tune jo kaha nibhaaya na
mai bhi nakaardun mai bhi nibhaaun na
par tere sa hona hi kyun hai?
jab tera mujhe ab hona hi na hai
ye baatein ab lagti fahaash si
baaton me saaz pirona hi kyun hai?
[bridge 2: psycho]

nahin hai tu
mere saath meri khushi me
nahin hai tu
wo saare lamhe hamaare bas
dard hi the
khuda se poochun mujhme kya kami hai?
kya?

[hook 2: rath & additional vocals (rsonthemic)]

tu + ab tu nahin chahiye
tu + badli manzilein
tu + ab tu nahin chahiye
tu + badli manzilein



Random Lyrics

HOT LYRICS

Loading...