rob c - common man lyrics
hook :
common man, jiske kandho pe hai zimmedari
common man, jo kabhi kare na makkari
common man, jiske liye family hai pyaari
common man, jo mehnat kare umar saari (x2)
verse 1 :
6 baje tadke, makaan maalik bhadke
abhi tha wo utha, aankho mein kuch radke
darwaaza reh g-ya khulla, wo karta phire sulaah
24 ghnate dimaag mein chale bas mooolah
sehmo sehmi jaldi mein wo ho g-ya taiyaar
2 bread khaake kiya beti ko pyaar
garmi thi bohat, uske ghar nahi ac
chalte uspe case, lagti rehti peshi
khaata roz dhakke, 2 yaar uske pakke
bas unse kare dil ki baat wo millke
log maare taane chehre pe niraasha jhalke
zindagi lagaati jaise thappad halke halke
taaron ki tarah wo chahta uski kismat chamke
biwi ke saath bhi roz hote uske pange
jab nikle wo bazaar, wo neechey rakhe nain
har bande ki kahaani beere, ye hai common man!
hook :
common man, jiske kandho pe hai zimmedari
common man, jo kabhi kare na makkari
common man, jiske liye family hai pyaari
common man, jo mehnat kare umar saari (x2)
verse 2 :
sirr pe sawaar tension, uske khaab bade mansion
kisi ko nai karta mention, uski nai hai koi pension
family se chhup, chhat pe wo baitha kalla
baitha kari jaata salaah, uske saath rehta allah
aagi pehli ab tareek, apne dukh mein wo shareek
abhi dena hai kiraaya, uska raasta bohat sateek
zindagi se bebas, uski life jaise khel
uska kare jee daal le oopar mitti ka tel
par, oopar zimmedaari ghar mein baithi hai do naari
wo toh nai hai koi vyapaari, har jagah se hai lachaari
kab aayegi uski baari, gareebi jaise beemari
soche wo sadak pe kisi ki toh jeb jaaye maari
ladayi abhi jaari, aage zindagi hai saari
ponche maathe se paseena, khelne nikla nayi paari
jab nikle ghar se bahar, wo neechey rakhe nain
wo hai tu, wo hoon main, apaan saare common man!
hook :
common man, jiske kandho pe hai zimmedari
common man, jo kabhi kare na makkari
common man, jiske liye family hai pyaari
common man, jo mehnat kare umar saari (x2)
bridge :
jisne dekhe bade dukh or jo khaata roz taane
jo hai toh hai mahaan, par wo abhi tak na jaane
jiske karke mere desh ko saara jag jaane
jisne nahi seekhe kabhi, bahaane toh lagaane (x2)
outro
Random Lyrics
- satellite stories - heroine lyrics
- brian wade ip - at war lyrics
- elmer food beat - je vais encore dormir tout seul ce soir lyrics
- reale - voglio brillare lyrics
- powerwolf - nighttime rebel lyrics
- witness the funk - lowest lyrics
- satellite stories - maraschino lyrics
- [ingenting] - emilio lyrics
- ava luna - on its side the fallen lyrics
- oliver dragojevic - dođi noćas u moj san lyrics