azlyrics.biz
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

rudraksh asv - faasle lyrics

Loading...

(intro)
yeah, yeah
haan, haan

(chorus)
kareeb aate par (kareeb aate par)
nahi saath mein (nahi saath mein)
kyoin itne faasle? (kyoin itne faasle?)
kyoin itne faasle? (kyoin itne faasle?)

(verse 1)
jab bhi rahi mujhe teri zaroorat
dur rahe mujhse hi tu bas
kast badhe dekhe na mudkar
aise karte kyun tum bebas
sehkar bhi na poori zaroorat
karz lage fakeer sa hoon par
harz nahi karta tujhse din
aasma kya milega chookar
kyoin apne bhi jaate mukkar
duniya bhi maare thokar
do pal main gham mein rahoon
phir seech doon panne lafz ko bokar
kabhi lagta sapne farebi
bas behlate hai yeh toh do pal
lekin na kala kaam aati
jab bhooka rahe na ho ghar
kyoin kar raha , jab na kuch milen
kyoin kar raha , trasidi badhe
kyoin kar rahe , jab yoon faasle
wajah hai ek , karoon poori khwaishien
kyoin nafa na kadra se
dafnata yadoon ke silsile
ho sakta shayad galat main
hum bhi nikle ek manchale
aise jabtak har sitam chale
tabtak yeh meri kalam chale
aankhen thodi nam ho jo
baath loon khusiyaan , bidh loon jo mushkilen
kaise sawar doon jeevan
kismat hi jab saath na ho
kaise udhaar loon sabse
jab khaali khud ke jeb ho
bharega iska pata nahi
koshish ki dard daba nahi
waqt gati mein badhe chala
jeevan meri vaise hi reh g+yi
kab aayegi din ki roshini
kab aayegi din ki roshini
khamoshi bhi ab kosti
kab aayegi din ki roshini
kab aayegi din ki roshini
kab aayegi din ki roshini
khamoshi bhi ab kosti
kab aayegi din ko roshini
kab aayegi

(chorus)
kareeb aate par (kareeb aate par)
nahi saath mein (nahi saath mein)
kyoin itne faasle?(kyoin itne faasle?)
kyoin itne faasle?(kyoin itne faasle?)
dukhta hai dil mera (dukhta hai dil mera)
tere hi saaz mein (tere hi saaz mein)
kyoin itne faasle?(kyoin itne faasle?)
kyoin itne faasle?(kyoin itne faasle?)

(verse 2)
chal chal aage tu badh nikal
khushnuma asar hoga waqt par
hosh rehegi dega tu dakhal
kismat chamkega yakeen kar
issi khwaab ke saath badh raha
jo yakeen wo mera sastra sa
kashmakash ke bas mein na kas raha
uljhan se na mann badal raha
jo safal raha yaad karen duniya bhi usse apna samjh ke
jo rukhta gham mein kho g+ya, sakht lage duniya hardam yeh
mann thamthe, badhte sitam yeh
jamte aashoon na wo jhalke
rooh roye bilakh+bilakh par aadhambar se sab lage halke
chhalke yeh ooch + neech , sab mann ka keech , jo badal na sakta
hum bas khud ka kar sakte, zamana khud mein hi ghum sa
par main vishwas mein, hardam naqaab ke saath mein rehta
pehnu jab niklu zamane mein koi baat na rehta
aaj main bas ek hoon tukda, khoya sa jo paas na rehta
kal jab mera mol hoga, hod lagegi kaash yeh milta
kaise izzat paaun , jab laash ko izzat laaj na milta
laaj bikhe ab paiso mein, naraaz janta kuch khaas na milta
kuch gadhte paimane, afsane aur avkash ek din ka
mujhe bhoolo manzoor, mere lafz bhool mujhe maar na dena
(outro)
mere lafz bhool mujhe maar na dena
mere lafz bhool mujhe maar na dena
mere lafz bhool mujhe maar na dena
mere lafz bhool mujhe maar na dena

mere lafz bhool mujhe maar na dena



Random Lyrics

HOT LYRICS

Loading...