azlyrics.biz
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

rushil aswal - kati patang(romanized) lyrics

Loading...

[verse 1]
dil mein jo yaadein tumhaari aur kisse hamaare
unhe ek hi pal mein kaise bhula doon?
pyaar ko paana hi to maine seekha hai
kya matlab dil jo tera mere paas hai lauta doon
meri manzil pahaadon ke upar
tu sherpa ke jaisi
tere jaate hi main toot na jaoon
mann mein angaar to mere bhi hai
par darr hai in chingaariyon se na khud ko jala doon

[chorus]
aur aage ka to kisko pata hai
par aaj bhi mera ye mujhe daraaye
khwaab dekhe to koi bhi tabhi
jab usko thodi neend aaye
to jaisi bhi dhun thi
tere sang
hai ab ye gham si
kati patang
ki taraah hawaa ke sang ab main chaloon

[verse 2]
aasaan ye hota jo tu buri hoti
par jo kuch bhi main hoon vo teri badaulat
kisi ko jaana hai to use rok na paaye koi
pyaar mein hoti na hai adaalat
tu jo bole tu hai vahi
main baatein banaoon, main cheezein chupaaoon
aur ye mujhe hi pata hai
dikhaane se darta hoon ki kitna kamzor hoon main
nahi kar sakta hamesha teri hifaazat
[chorus]
ab jaane se tere jo ye khamoshi chhaayi
ise mere geet mitaayein
khwaab dekhoon to koi bhi tabhi
jab mujh ko thodi neend aaye
to jaisi bhi dhun thi
tere sang
hai ab ye gham si
kati patang
ki taraah hawaa ke sang ab main chaloon

[outro]
taaki khulke to saans main le sakoon
aur akela bhi kuch pal main rehna seekhoon
taaki khulke to saans main lena seekhoon
abhi ke liye to main akela theek hoon



Random Lyrics

HOT LYRICS

Loading...