azlyrics.biz
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

sameer asim - tales of tenacity lyrics

Loading...

[part i]

[verse]
adakaar barre khol dete yaar idhar raaz
tabhi baan’ta nahin houn mein vichaar mere aj kal
i’m one against the world
or ye gangster ban’ne rakh ke chaar londay saath
beta khud kiya ha tu?
teri pehchaan qaafile se ha
to kiun akar raha ha tu?
ye chor baaten saari zaat vaat ki
andaaz se hi lag raha ha saaf ke ab dar raha ha tu
bhai zimedaar ban
aankh khol kabhi aas paas dekh
ghar se bahir nikal dhund, apna daam naam dhund
umar dhal rahi ha maa baap ki, kaam vaam dhund
wo kitna bebas hoke bina aansu rota hoga
wo kitni raaten khaye bina kuch bhi sota hoga
tu beshak inkaar kar, but it’s been harder
tujhe bhi to kabhi ahsaas ye hota hoga
beta baap baap hota ha wo khud be haal hoke bhi
sabse pehle teri hi to fikar kare
tere liyе is se barh ke kya khushi hogi?
ke tеra baap fakhar karke tera zikar kare
jo tera ab aaya waqt mein guzaar chuka houn
jo bhi bigri thi wo aadaten sudhaar chuka houn
agar baap meri kamiyabi dekh hi na saka
toh phir samajh meri jaan, jung haar chuka houn
meri jaan meri baat pe dehaan de
agar deni pare aake aag+y jaan de
magar chor de gumaan ke is kacha makaan ka
in tez baarishon mein rahega koi qayaam
toh bata kya tere paas ha waqt barra?
maine mehnat likhi tune us’se haq parha
meri jaan ye hatheli pe milte nahin inaam
to tu manzil ki taraf ab qadam barha
[part ii]

[verse]
idhar londoun ko fursat hi milti nahin
ye masle, ye nashe, ye bachi, ye game
ye kachi umar ke hai khwaab meri jaan
apni life mein rakh le koi aim
ye mazaak nahin raha maine dekhe wo halaat meri jaan
ke ye zindagi ban g+yi thi jang ka maidaan
wo tamaam saare mitti mein mil g+ye gumaan
magar humne bhi de ke zabaan ko lagaam
kiya mehnat se kaam
apna becha makaan
rahe banke gulaam
leke dil mein yaqeen
ke hum denge sar anjaam aise kaam
ke ye dunya ho jayegi hairaan
maine bhi sune thay taane badde
ke “ye ladke ab gaate hain gaane bade”
wo waqt hamen yaad ke is qala ke saath
apne ghar bhi hamen the chalane pade
magar unse to mein badda behtar tha
rapper se pehle mein writer tha
subha se bhookha tha jeb me meri
ek cigrette ki dabbi or lighter tha
mein to us’se bhi behtar tha karna chahta
jo chaar saal se mera idol tha
mujhe jani mein apna hi aks dikha
maqaam jab suna tha vible ka
lekin rahe bade dil mein malaal
ke awaaz nai sunta tha koi
the khayaal mere dil mein hazaar
mujhe yaad mein ye khud se hi karta sawaal
shayad mujhme wo pehle wali nai baat rahi
udasi hamesha hi saath rahi
tumhe dikhti hamari subha
nahin dikhti jo humpe ek ashre ki raat rahi
[chorus]
meri jaan humne maani kya haar?
nai!
ghamon mein koi shumaar?
nai!
ankhen bhar ayi thi kyaa?
haan!
aansu bahaye thay chaar?
nai!
meri jaan humne maani kya haar?
nai!
ghamon mein koi shumaar?
nai!
ankhen bhar ayi thi kyaa?
haan!
aansu bahaye thay chaar?
nai!



Random Lyrics

HOT LYRICS

Loading...