samira koppikar - kaanch ke lyrics
Loading...
badla nazariya hai
nazrein aur nazaare hain vahi
kal ki baaton pe aaj humko
kyo aati hai fir bhi ab hansi
deewanepan ki intaha the tum
haan, khaalipan ki bhi davaa the tum
vo asar chahaton ke na rahe
chorus
vaade tere-mere kaanch ke
pal-pal ki dhoop ke, chhaanv ke
bikhare hain toot ke, na sil sakein
vaade vo kaanch ke
antara
hoge sath tum, hogi jab shaam- e -zindagi
naadan khwab tha, neend se jab akhein khulin
ae kaash ke hum khwab hi mein jee lete
pahaloo mein tere saans akhiri bhi lete
laga ke taale palakon mein hum tum
un raaston pe ho jaate jo gum
jaag ke kis jahaan me aa g-ye
chorus
vaade tere-mere kaanch ke
pal-pal ki dhoop ke, chhaanv ke
bikhare hain toot ke, na sil sakein
vaade vo kaanch ke!
Random Lyrics
- karen o - anti-lullaby lyrics
- ph4de - switchin sides lyrics
- barabar - feridem lyrics
- chris holsten - happy tears lyrics
- david vitela - our song lyrics
- dead man's tetris - tinker lyrics
- the backpack kid - too young lyrics
- b young - jumanji lyrics
- job kurian - parudeesa lyrics
- camilo séptimo - inconsciente lyrics