azlyrics.biz
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

shimmm - ehsaan faramosh lyrics

Loading...

puri zindagi mai socha ki kuchh karna hai
aage mujhe badna hai
saare bole mujhe shimmmy tujhe to fikar kya hai
tere pe to sab yahaa hai
bada ghar, badi gaadi, badaa tera friend group
aur peeche itni janta hai, sahi to sab chal ra hai

lekin sachi mien ni samjha mai ki mujhe aisa kyu fir lag ra hai
jaise shimmmy marr ra hai, andar se vo sadd ra hai
andar dekho bheeter mien, ek bacha jag se darr ra hai

par ye baat ni bataani maine kisi ko
bhai chup
ye saare sochenge ki hai tu very different than you look
ye teri image ka sawaal hai, real mien kya haal hai
koi ni de ra f+ck to isko andar hi rakh gupt

ghar pe seekha hai na
tujhe pataa kaise waqt akele beeta hai na
beeti zindagi makaan mien
papa g+ye dukaan pe
mummy ka bhi office peeche

ghar ki ye diwaare dikhe mujhe aankh mein
karu baatien inse jaise khud hi ke khilaaf mai
akele maine rehna seekha koi bhi ni tha saath mien tab
tab koi bhi ni tha saath mein, han koi bhi ni tha saath mien
nahi seekha maine kaise banti family
bacho se badd ke salary, ghar wale lag re enemies
vo keh re tujhe bola hai na

ye sab kar re tere liye, tujhe khona hai kya?
jo sab mil ra tujhe fir bhi tujhe rona hai na
tu ehsaan faramosh, kabhi socha hai kya?
tere liye humne bhoola ki ab sona hai kya

maine bola hai kya? ye sab chaiye mujhe maine
kabhi bola hai kya bolo mujhe
school se aa ke na mai kyu chehra dekhu aap ka
jab dekho aapko kaam tha
mai karta wait rozz shaam ka
time kar ra waste mai khaamkha
dil dhunde ye ni maanta
aap pucho khud se rukk ke apne bache ko mai jaanta kya?

jaanta kya ho ra iss se hum mien kitna faasla
kya jaanta mai bacha mera ho ra kab naraaz tha
kya jaanta mai vaise shimy rehna chahta paas tha
kya jaanta mai ye sab par kya faraq hai iss baat ka ab?

beeta waqt vo saara
seekha maine khud se jeena, ni mai hu bechara
seekha jab tak aa ra kaam tab tak hu mai pyaara
abhi dekhe jaa ra, ye nazara mujhse ab na soya jaa ra
shayad tabhi karu kaam mai mann se rozz hi mehnat
inn zakham se bhagu le ke ye kadam mai
jee ra fir se ye bharam
mai seekha tha jo apne ghar se
dauda tha mai jis se ladd ke
kar ra aage vahi mai chal ke

badaa ghar badi gaadi ka mai daalu kya aachaar
chahat meri zyada ni hai ab buss khud ko lu sambhaal
shayad jab banunga baap to mai tab samjhunga par aaj
mujhe chaiye thoda waqt ab aur buss thoda sa hi pyaar

baaki kehni thi ye baat
kaash ye sunn paate tab aap



Random Lyrics

HOT LYRICS

Loading...