azlyrics.biz
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

spitfire a.k.a nitin mishra - vartalap lyrics

Loading...

(verse)

vartalap hain sangeen rakho kaan khule
raza pe ras milega bas faras sa aage chal de
mrada ye bin taral ke, geet inke saare mal se
khojo hal ya phir main dhyaan har loon tera chhal se

ghazal ke bol ye nape tule hai dil tarazu
main krishna ki hoon baansuri tujhe main kar loon kaabu
main bhasm karke tujhko hi rama loon tan pe apne
sapne hai anant jaise shiv main baitha ban ke sadhu

na hashr ka pata na kasht mein kasar rahi
hai waqt mrat ye bas haan zindagi guzar rahi
main shaks na bana to phir banunga main katha nahi
syahi na bahi ko aisi koi bhi vyatha nahi

main naye baalakon ko kehta rang lo kaagzaat
ye banna chaahte sitaare main to banta raat
baatein chhodo betuki sudhaar lo hayaat
naam tumko pehle hi pata hai sabko kar du khaak

(chorus)

main panktiyon mein karta hoon ye saare gham bayaan
gaane wala besharam ye dhun hai behaya
kala ko meri pahuchana hai mujhe charan pe
jalega dil suno ye geet kaafi garam sa

main panktiyon mein karta hoon ye saare gham bayaan
gaane wala besharam ye dhun hai behaya
kala ko meri pahuchana hai mujhe charan pe
jalega dil suno ye geet kaafi garam sa

(verse)

panktiyaan hai sard aaj bhi hai thand kaafi
kaali syahi kaali ban rahi prachand kaafi
ye kehte mishraji ka ladka gaata mand kaafi
pradarshani hai tu aur tez kab hai chalti jhaanki

virah mein baithi aatma ki laalsa ki kasm
bahega khoon kaano se ye bahut katl nazm
bas ye sacche aashiqon ko hi lage gulon si
baaki saare sool main banaa ke dhool kar du bhasm

hai janam ye bas ek hi
din ye kam karam anek hai
nigaah to mili hai sab ko hi
par ye mann se na hai dekhte

har ek ansh keemti hai rakh lo tum sambhaal
kasaai na main par ye vaani karti hai halaal
jawab banti aankhein mooh ye jab kare sawaal
bol deta mann mein aata jo main na karu malaal

(chorus)

main panktiyon mein karta hoon ye saare gham bayaan
gaane wala besharam ye dhun hai behaya
kala ko meri pahuchana hai mujhe charan pe
jalega dil suno ye geet kaafi garam sa

main panktiyon mein karta hoon ye saare gham bayaan
gaane wala besharam ye dhun hai behaya
kala ko meri pahuchana hai mujhe charan pe
jalega dil suno ye geet kaafi garam sa



Random Lyrics

HOT LYRICS

Loading...