azlyrics.biz
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

sunny khan durrani - girhain lyrics

Loading...

soolhi pe charhay aashiq
munkaron ke taaj hue
shaam girhain phiray baandhte
raat ke khule raaz pe
shaam girhain phiray baandhte
raat ke khule raaz pe

meri kamyaabi aur nakaami dono sath chalain
koi acha likhaari ya acha insaan bane
matlab ke wahan sunne waale sar pe taaj rakhain
yahan mere ghar pe adhooray saray kaam paray
apnon ko shikwa ke me bolta nai zyaada
yahan mic pe me garhay murday khol ke dikhaata
matlab koi to tazaad hoga meri takhleeq me
aik hi tasweer me kyun chehray hazaar dikhain
me faani la faani ke beech ka insaan hun
me kafiye radeef me hi rooh apni daal dun
me raazi razaa ke is khel se bhi aaq hun
me maazi aur kal ke maathe pe goli daag dun
jo tum sab ko dikhta mе wo nai maseeha
me shayar hun qaayar hun jumlon main chupta me
ghonpta hun gallay apni shaklon ke roz par
mе kese azaad jab me qaid ka hun dost
wo kholta darwaazay mujhpe kholta wo rizq
aur me betha hun sehem ke qaffas se mujhe ishq
mujhe raas nai aai ye aazadi aur rehaai
mujhe aas nai chaiye mujhe chaiye duhaai
to aajao tumhe dedun asleehat ke karway neem
aur tu naach jab tak bajte rahe zehreelay bheen
mere aas paas ke mardon ka zarf itna kam
ke wo lar rahe hain aurton se maangne pe haq
jab koi aurat yahan kahay mera j+sm meri marzi
mere aas paas ke mardon ki anaa yahan jalti
dete be maqsad daleelain puche haq kyun inhe chaiye
me kehta ghar ki aurton se baat kijye jaiye
tum roz beth ke yaaro me jo khiliyaan uraate
aur izzat pe tere ghar ki roz wohi toofaan aate
tu na waakif hai tu waakif nahi bas itna hi farq
tera baap teri maa ke hi haqooq kare tarq
jaa pooch apni maa se mera na tu yaqeen kar
mardangi ki aag me zameer leg+ya deen dharam
mujhe aage bolain mere nazariye sab ghalat
aik pe phenk dia tezaab, aik pankhay se gai latak
aur phir bhi teri jurrat puche kyun haqooq chaiye
to phir se kehta maa behen se baat kijye jaiye
aur deni dedo gaali
tumse lakhon aaye pehli bhi
itni bari anaa nahi chup karke wo seh legi
par tum kya karoge jab zameer cheekhain maaray
mere lafzon pe tanz tujhko nai bachaane waale
na dost yaar tere jo ke hassain mere hulye pe
waqif tu bhi andar se wo saare bhi wehshiye
wo noch khaalain aurat jo qudrat de unhe moqa
tu aankhon pe patti baamdhe khud ko de ra dhoka
aur tu mujhe aage kehta mere lafz saare khoklay
tu apne hi ghar me aata selaab rok le
khalil ur rehman jese mardon ko poojte
jo darja insaaniyat se bhi neeche hain gire hue
khud jo pyaar apna haasil na kar sake
lage hue dunya ki aurton ko gaali dene
bas yehi rehg+yi kya qul mardaangi
ke aurat pe cheekh tuney baat anaa ki maan li
tu soche kahay deen tujhe ashraf makhlooqaat
par ye kahin nahi zikar jaake parhle tu quraan
ye khel mard zaat ka mazhab ki liye dhaal
apne iraaday wo pure karne daalta hai jaal
aur tu kabse phassa hua ussi jaal ke beech me
me azaad panchi tu tor zanjeerain ke

soolhi pe charhay aashiq
munkaron ke taaj hue
shaam girhain phiray baandhte
raat ke khule raaz pe
shaam girhain phiray baandhte
raat ke khule raaz pe



Random Lyrics

HOT LYRICS

Loading...