azlyrics.biz
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

sunny khan durrani - raat dhallay lyrics

Loading...

[intro: debashree dasgupta]
lafzon me apne chupaa ke rakh lu
geeton me apne sajaa ke rakh lu
mere labon pe tu hi ghazzal
tere bina me adhoori nazam

[chorus: debashree dasgupta]
lautay nahi ho ab tak ghar ko
tum bin kese raat dhallay?
darwazay pe nahi koi dastak
tum bin kese raat dhallay?

[verse 1: sunny khan durrani]
yehi shikwa
yehi gilaa hai tujhe ke
ke ziddi me
par ye shamma na bujhe
aur zidd bhi to meri sirf teri hi khaatir
aik mujhse tu waakif
aik mujhse nawaakif
me chor chuka jhooti umeedon pe rehna
me kharaa taiyaar ke me sehlun jo sehnaa
mere seene me himmat abhi bhi hai baaqi
me dunya se lar raha hun jangain bhi kaafi
me tootunga nai jese patta khizaan me
me wo phool zindaa jo registaan me
han me dunyaa se kaafi munfarid
na me murda khor na me jhund me koi gidh
na rind na nashay me
me chupta nai khof me
me aankhon me aankhain daale milunga moat se
ke bol, karke dikhaa tu judaa ab
hamaara muhaaida karega khudaa ab
kyunke wohi jisne banae hain ye faaslay
ye tere mere jisne alag rakhe kaaflay
saath hi chale the par mukhtalif simt me
waqt guzarta ham pal rahe gintay
mintay kar kar me parwadigaar ki
ke kuch lamho ki to mohlat udhaar de
par maafi ke me wo nahi jo waqt ko chalaata
jo hota is laiq to me ghar loat aata…
[chorus: debashree dasgupta]
lautay nahi ho ab tak ghar ko
tum bin kese raat dhallay?
darwazay pe nahi koi dastak
tum bin kese raat dhallay?

[verse 2: sunny khan durrani]
meri simt in logon se mukhtalif
ham wo sitaaray jo ke girtay nai
tum dhoondo to aas paas mere jese hain kam kam
me kalaa ke pyaason ke liye jese zam zam
me kinaara kash is qul kainaat se
me aadam bezaar hua apni hi zaat se
ye baat mere baad jaake teri samajh aani
ke kese toofaan me bhi chup tha durrani
kese wo ghar se hamesha hi dur raha
kese usse apna hi aap khara ghoor raha
qallam toota hua kheenchun pathar pe lakeerain
me azaad panchi tu tor zanjeerain
jal g+ya gaon par me haar ni maana
itna asaa nai meri hasti mitaana
zamaana laga hua tum bhi karlo koshish
tum dekh nahi sak rahe ke moosa ya moses
me ghar se hoon door mera naam musaafir
me kuch ka maseeha me baqio ka kaaafir
me haasil la haasil ke farq se bhi waakif
me saadiq aur haasid ke bhaap lu maqaasid
jaanta hun aap sab raah meri dekhain par
ghar nahi aa paunga ke khaali hain jaibain
jo bhi kamaaya tha wo sab hi lutaa chukka
lafz mere paas the wo sab ko sunaa chukka
aaunga lekin rukaawatain giraa ke
uljhi jo dorain hain unko suljhaa ke
ye waada hai mera dar pe dunga me das tak
to rakhna yaqeen intezaar karna tab tak
me waaday ka pakka ye tu bhi to jaanta
me raahain bhatakta par loat ke aata
me karta hun waada
yaqeen rakh!
[chorus: debashree dasgupta]
lautay nahi ho ab tak ghar ko
tum bin kese raat dhallay?
darwazay pe nahi koi dastak
tum bin kese raat dhallay?



Random Lyrics

HOT LYRICS

Loading...