azlyrics.biz
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

shaan – woh ladki hai kahan lyrics

Loading...

jise dhondata hoon main har kahi
jo kabhi mili mujhe hai nahi
mujhey jiske pyar par ho yakin, woh ladki hai kahan

jisse sirf mujhse hi pyar ho
jo yeh kehne ko bhi taiyyar ho
suno tum hi mere dildar ho, woh ladki hai kahan

jo tumhare khawabo mein hain basi,
woh hasin murti pyar ki
milegi tumhe kabhi naa kabhi,
jara dekho yahan wahan

chalo dhondate hain ho tum kahi,
woh pari woh hur woh najnin
jisse dekho toh kaho tum wahi,
arey yeh toh hain yahan

janey kyun khayal aaya mujhey,
ke woh ladki kahi tum toh nahi
tum mein hain woh saari khubiya,
tha jinko dhondata main har kahi

tumhein dhoka lagta hai ho g-ya,
mujhey hain samajh liya janey kya
naa main hoon pari naa main apsara,
karo tum naa yeh ghumaan

jise dhondata hoon main har kahi
jo kabhi mili mujhe hai nahi
mujhey jiske pyar par ho yakin,
woh ladki hai kahan

maan lo agar main yeh kahun,
ke mere khawabo mein tum hi toh ho
jaan lo mera armaan hai,
ke mere saath hi abb tum raho
mujhe tumne kya yeh samjha diya,
mera dil ko jaise dhadka diya
mere tan badan ko pighla diya,
oh sunaye dastaan

jise dhondata hoon main har kahi
jo kabhi mili mujhey hai nahi
mujhey jiske pyar par ho yakin, woh ladki hai kahan
woh ladki hai yahan
woh ladki hai kahan
woh ladki hai yahan
woh ladki hai kahan
woh ladki hai yahan



Random Lyrics

HOT LYRICS

Loading...