azlyrics.biz
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

taimour baig, rohith pai kasturi & sarpdansh - naqaab lyrics

Loading...

[chorus: sarpdansh]
inn aankhon se yeh, kuch kehne ko mein kehta raha, mein bus kehta raha, yaa
naa bola tu, tou badlay may doori sehta raha, mein bus sehta raha, yaa
inn aankhon se, kuch kehne ko mein kehta raha, mein bus kehta raha, yaa
naa bola tu, tou badlay may doori sehta raha, mein bus sehta raha, yeah

[verse 1: sarpdansh]
apno se door mein, anjaanay ilaaqon may ho rahay mashhoor hain
yeh paisa ‘gar haathon ki dhool hai, dhool kamaane ko kyun hum majboor hain?
kya mol hai laakhon ke noor ka? maut ke baad jab hona bus choor hai
par waadon ki qadar kya tu bhi karegi jab saaray tere liye bhool hain?
matlabi yeh mulaqaatein
mere saaray zakhamon pe naghme bichha dein
par mere batway se door naa bhaagеin woh
[?] kyun?
aur ab raakh he raakh hai
mein tou chaandni raat may dhoondun pyaar ki laash ko
karri kaafi talaash thi, par woh parri naa paas may
ab ginta mein aakhri saansеin yeh

[verse 2: taimour baig]
raaton may jaagta hoon, sochta hoon (yeah)
panic attacks, khud ko kosta hoon (yeah)
likha nahi jaata, qalam chorta hoon (yeah)
lekin jab bhi likhun, such bolta hoon
kaano may headphones, duniya se door mein (bara door mein)
likhayi aamdani, likhne par majboor mein (yeah, yeah)
let me go through the place where the peace is (what?)
rockstars, broken heart into pieces (yeah)
phir roz mujhe yaad aaye teri (yeah)
mehfilon may baat aaye teri
aur naa aaye jo, woh bus tu hai
meri zindagi may ghum itne kyun hain? (kyun?)
bohot he afsos ki baat hai
jis may yaad aaye teri, woh manhoos si raat hai
usne khat likhay kal mere naam par
mera saara waqt guzarta hai kaam par (busy man)
when i’m drunk, i speak well (speak well)
bohot bolun, ghalat bolun nahi (never ever)
tere raastay may dafan (yeah)
they wanna bury me, i worry, inhe kholun nahi (haha)
sahab+zaaday tere sheher ke aaye hain teri gali
tujhe karne ke liye haasil, par tu he nahi mili
mein ne bohot karri koshish, raha mein naakaam
loug karein kaam, but i haven’t seen a milli
[verse 3: sicklot]
han, ke tum se kuch bhi keh bhi naa saka
jo ghum diye thay tum ne, woh mein seh bhi naa saka
inn aankhon ne tumhari mujh pe jaadu kar rakha hai
jo tum naa mere rehber, tou koi reh bhi naa saka
han, tere bina din, naa he kat’ti hain raatein
dil meri qismat se kaafi naraaz hai
jahaan mere paas hai, par tera naa saath hai
tumhari he khoj may karta yeh baatein
tu haath pakar mera jaan+e+jaan, aur aa bhi jaa
mein saari raatein likhun tere baaray may kyun?
ab aake bata de mujhe chhora tou fir
aaj unhi hoon yaadon may mein tere paas jaan+e+jaana, kyun? uh

[chorus: sarpdansh]
inn aankhon se yeh, kuch kehne ko mein kehta raha, mein bus kehta raha, yaa
naa bola tu, tou badlay may doori sehta raha, mein bus sehta raha, yaa
inn aankhon se, kuch kehne ko mein kehta raha, mein bus kehta raha, yaa
naa bola tu, tou badlay may doori sehta raha, mein bus sehta raha, yeah



Random Lyrics

HOT LYRICS

Loading...