umer anjum, farhan khan & superdupersultan - a tale of two cities lyrics
[intro: umer anjum]
yeah, yeah
you know me
yeah, uh
[chorus: umer anjum]
it’s a tale of two cities
chhoro maal rakho jaan, yehi qeemat hai yahan ki
it’s a tale of two cities
katt chuke haath, jal rahi hatheli
it’s a tale of two cities
chhoro maal rakho jaan, yehi qeemat hai yahan ki
it’s a tale of two cities
katt chuke haath iss sheher ke, jal rahi hatheli
[verse 1: umer anjum]
uthte saath uska haath jaye pistol par (yeah)
bharosa nahi raha uska system par (no)
usko pata hai agar zinda rehna baba
cheenajhapti lagi, haq tou koi dene nahi wala (facts)
kabhi usne bhi dekha tha ujaala
ab andhere say makaan may, woh parr chuka hai paala
galat kaam ghalat loug lekin paisa poora hai lala (uh)
tou phir marg+ya andar ka khauf+e+khuda, yeah
ab dekhra woh ayena par dikhra hi nahi usey apna koi aap
khoon bhara aankhon may, saamne koi beta ya baap nahi
parwah utaarde woh maut ke ghaat
hojaye g+yab galliyon may
woh chappa chappa jaante hain
ilaaqa darta, sarr jhukate hain
chamak rahi, 32 jou haath may hai
banara naam itna, aati sabki haath may hai
bhool betha qaiday woh jaib may jab quaid hai
nizaam saara idhar, rishwat pay qaim hai
hum zubaan apne sheher ki bane
woh kaat denge mujhay, idhar khoon lena jaiz hai
mustaqbil mujhe dikhe nahi mulk ka
mustaqil kyun gareeb idhar rulta
mein banglay may bethke dou baatein nahi chodra
faraq parta mujhe kya hai haal idhar mulk ka
mere ghutnay inhi sarkon pay phatte
mein kattar karachi hatten
na jache gaddari mujhe
bas aqal chalati marray jou k+m aqal kaafi khade
haan samajh sab aari mujhe, maarega samaaj hi mujhe
[chorus: umer anjum]
it’s a tale of two cities (cities)
chhoro maal rakho jaan, yehi qeemat hai yahan ki (yahan ki)
it’s a tale of two cities (cities)
katt chuke haath, jal rahi hatheli (d+mn)
it’s a tale of two cities (cities)
chhoro maal rakho jaan, yehi qeemat hai yahan ki (yeah)
it’s a tale of two cities
katt chuke haath iss sheher ke, jal rahi hatheli
[verse 2: farhan khan]
hatheli jal rahi hai phir bhi kali mal rahi
nashe may ab woh kehta ki woh sheher mera ghar nahi tha
jahan pe chacha khada hua maa ko marne
mujhe nafrat hai bachpan se mere ki usme bal nhi tha
tou chhor agra, mumbai may aake ladna seekha
chappal may blade chhupa ke mira road may chalna seekha
purani train ki chatt pe the mein or alam
jab woh marra, mein ne chupke se khuda ko uspe haste dekha
yeh sheher lashein khaa jata hai
mein ne suna alam ki maa ab bhi so nahi paati
rasta taake sapno ka, yeh sheher maa ki raatein khaa jaata hai
kamane bhaga baap, mehnat ka yeh sheher bete ki purani saari yadein khaa jata hai
bar dancer ke saath aadhi raat phooka sutta
kehti saalon se dekha nhi khudko khudki hi nazar se
mera jagmagata sheher gareeb ki beti ki aabru aur ankhein khaa jata hai
yeh sheher bana de ya baddua de
14 umar ke the jab gali se nikal ke humne batwe maare
pehnawa badla pichli zindagi pe parde daale
tou yeh rapper phone karke dhamki dere bhadwe saale
yeh jaane ghanta nahi, kala may inka abba ji
yeh zinda kyunki legacy pe chahta apne dhabba nahi
may mumbai sheher ki mohabbat yaani rab ka banda bhi
par mumbai sheher zalim bhi kardega teri barbadi
[chorus: umer anjum]
it’s a tale of two cities (cities)
chhoro maal rakho jaan, yehi qeemat hai yahan ki (yahan ki)
it’s a tale of two cities (two cities)
katt chuke haath, jal rahi hatheli (d+mn)
it’s a tale of two cities (two cities)
chhoro maal rakho jaan, yehi qeemat hai yahan ki (yeah)
it’s a tale of two cities
katt chuke haath iss sheher ke, jal rahi hatheli
[outro]
[+pakistani news reporter reports+]
karachi ke ilaaqe karsaz may khatoon se taiz raftaar gaadi, beqabu hokar gaadiyon aur motorcycle se jaa takrayi. iss hadsay may khatoon samait 2 afraad jaanbahak jabke 5 afraad zakhmi hogye hain
[+indian news reporter reports+]
seventeen years old rich brat in pune, mowed down and k!lled 2 people in pune, in his porsche
Random Lyrics
- זיו פליישר - si hadash - שיא חדש - ziv fleisher lyrics
- dyme-a-duzin - ride lyrics
- mubellious - broken lyrics
- talita silva - curas e milagres lyrics
- nomane - routes sinueuses lyrics
- tdkkanal - lost lyrics
- nina ryser - beauty in grime lyrics
- big ant dog & willcallerosyt - pls (original) lyrics
- mt. lewis - 24 lyrics
- rekay rovera - 2euros lyrics