azlyrics.biz
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

vaibhav & garvit singh bhati - paisa lyrics

Loading...

hey bawa, agar paisa hi sab kuch hota toh kabka rishte kho chuka hota main love you guys
bas ek sawaal, puchun ab main
kya hai tu? kyun dhundhe sab tujhe?
kya hai paisa? kyun hai iska itna moh
main unnis saal ka, kyun iske peeche bhagun roz mujhe samjhta nahi bas hota mehsoos
ki paisa zaroori hai zaroori hai itna who
ki log chord dete ghar baar hain
ki log todd dete ghar baar hain
ki log ho jaate andhe or masroof
itna ki bhool jaate unme bhi hai rooh
main dekhun chaaru aur dikhd bas samsya hai paisa hi dikkat aur wahi hal uska hai
maine kyun dekhun khwaab ant sabka paisa hai main kyun bhaagun jab na ant main koi paisa hai kamaye log na kamaya maine paisa hai
logg na bharte pet, paisa sab par haivaan hai
ab tum bologe ki ladke tu jawaan hai
baaki padi hai life, kyun itna pareshaan hai
main dekhun, maa baap na khush mere
main dekhun, ghar main bas dukh mere
sab saath hain par sab hi khilaaf hain
aur inn sabki jadd paisa mere yaar hai
kai dafa socha lelun main bhi shortcuts
kama lun paisa jald, sabr mujhme bohot kam

par chavi pita ki aankhon ke saamne hai
jisne khaayi hai muh ki na khai haram ki hai
kaisa chukaun saare karz jo ki dikhte hain
kaise samjhaun yahan farz saale bikte hain
kalesh dikhta or karta main
yahi lamha hai, sab sala likhta main
main dekhun mere daadi ko who chaahd bas pyaar hai
who chaahd sab saath badhe, uska yeh khwaab hai
par hum apni hi daud main hai lage hue
matlabi hum sab, aur waqt par na khade hue
kya hai paisa? kyun hai iska itna moh
main 19 saal ka, main isse dur bhagun roz
rakhlo saara paisa, mera bhi tumhi khalo
pasand mere shabd? gaana bhi tum hi gaalo
mujhe chordo akela ab, mujhe rehna hai khush or yahi mera aim harr waqt bas meri maa ko na sochna pada harr pal
ki kaisa hoga sab, sab dedun unko bas…
main 19 saal ka baat karun paise ki
haslo tum bhi, baat karun main jab bhi
par mujhe pata hai ki kya mujhe hai karna
izzat, fir parivar, paise fir main rakhta
paise zaroori hai, par ghut kar na marna
ghut ghut ke marna nahi, mujhe ghut ghut ke marna nahi
toh fir yeh paisa mere yaar, kahan le jayega tujhe? khaali haath aaye, jaayen khaali haath
ghoot ghoot ke marna kyun tujhe?
sab saath hain toh khaas harr lamha tera yaar chaahe uss lamhe main paisa na dikhe
toh fir yeh paisa mere yaar, kahan le jayega tujhe?



Random Lyrics

HOT LYRICS

Loading...