azlyrics.biz
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

​vichaar - 5 fingers of death lyrics

Loading...

[chorus]
kaagaz (chheen), taaqat (chheen)
kaagaz (chheen), taaqat (chheen)
kaagaz (chheen), taaqat (chheen)
kaagaz (chheen), taaqat (chheen)
kaagaz (chheen), taaqat (chheen)
kaagaz (chheen), taaqat (chheen)
kaagaz (chheen), taaqat (chheen)
kaagaz (chheen), taaqat (chheen)

[verse 1]
pakk chuka hoon kaafi ab
tha pehle bhi toh bola tujhe
mashwara nahi chahiye paas hi rakh
toh kyun kaate parr
yahan baaghi sab hilaade jagg
gira ke daaru sab iraade par
hai laundon ke ab aa rahe kaafi
kaante se hi kaatun sar phir chhedun svar
saja ke rakhee teri jagaah hai sirhaane par
mere rishte ni baney baawe saafi par
tu mudda toh kar
mera chhod baba aake dega mukke bhar
zindagi se seekha thoda ruk ke chal na
dall badal bas ghooma tha main darr+ba+dar
par aaya waapas main giraake kal
dikhaane bal maidaan mein gard
toh saare rakhe maine ji nishaane par
kaaryakarta kaarigar kinaare karke saare darr
hai tabhi dikhti ni shikan mere maathe par
saare sochein kaatnе mein maahir
par hain kaate fal
kabhi rishton ko tola nahi taraazu par
mera launda kaali siyaahi chhaapе baazu par
hai inn pannon pe laga khoon baaju kar
hai naazukh pal toh de deta hoon aag ugall
tajurba aisa lage hone waala 60 hoon kal
tu dekh ke toh chal baawa phisalna saabun par
kabhi nahi gira peeth ke bal
ba lagey teri back hai breakable
aa leke jaaun tujhe lake ke tal
saath waale ko bol na de dakhal
vichaar kar ke baitha 6 qatal
kirdaar puraane lekin nayi shakal
naya din lekin wahi bhassad
jo khoon+khaar baney usey de knuckle
gunn chaar bhare tujh mein phir bhi kyun tu kam akal?
[chorus]
kaagaz chheen, taaqat chheen
yahan pakde hein gatte chabaake ye scene
kaagaz chheen, taaqat chheen
ghaple+baazi toh main sehta hi nahi
kaagaz chheen, taaqat chheen
guzra ye hafta par dekhi nahi neend
kaagaz chheen, taaqat chheen
bahut hua sabr you in for a treat
kaagaz (chheen), taaqat (chheen)
kaagaz (chheen), taaqat (chheen)
kaagaz (chheen), taaqat (chheen)
kaagaz (chheen), taaqat (chheen)

[verse 2]
kinaare gawaah, main kaise banaa
mujhe gaayab tha hona jahaan se
toh jaake diya main paise kama
ek free ki salaah, tu aade matt aa
bhayi yahan pe ladke sab sufi
par de jaate rog mein sheheri dawaa
tu kg mein tha, main tezi mein tha
ye zindagi beat change karey toh phir main naezy the baa
ye chheene kala, toh seena jala
phir kaata main sabko
jo bole ki gaanon ko catchy bana
[verse 3]
jaise mazdoor rakhoon urja bharpoor
dikhe mehnat mein kami
toh aake laafa jadd doon
na hota kabhi manzoor tum bolo iss ko fitoor
na hai kisi ka kasoor
yeh hai mera hi wajood
naapa hai har ek sur tabhi taal bhardun
keemat jab pata na ho shabd ki
toh na kaan bhar tu
dikhe tu thoda sa bhi shakki
tera naash kar doon
na maalum maut kab aaye
toh na maun dharr loon
tabhi lagan dekh, bhajan pe
chhod diya saath jab se sanam ne
kalam mein wazan de
boom kara raasta toh gagan pe
safal main, shakal se
gulaab mein hai kaante bhi toh panapte
akadd dekh, bhassad mein
haath chhode jab bhi seedha pakad te
trip hota poora kabhi hota nahi aadha
naapoon yeh ilaaka oopar se jaise ripazha
naa hi koyi pyaada
galat fehmi ho toh kaatun aadha
bawa i was born this way main jaise gaga
rehta hoon zameen pe mera land jaise lala
uth jaata jab bhi lage floor hai yeh lava
aankhen jaise arjun kabhi chooke nahin nishaana
hawa si yeh soch main to modd doon disha haan
maa boli duniya mein kho matt jaa na
chhodd diyo jaana jidhar ho naqaab haan
tabhi chhor diya jaana jidhar ho naqaab wahan
[chorus]
kaagaz chheen, taaqat chheen
kaagaz chheen, taaqat chheen
kaagaz chheen, taaqat chheen
yahan pakde hein gatte chabaake ye scene
kaagaz chheen, taaqat chheen
kaagaz chheen, taaqat chheen
kaagaz chheen, taaqat chheen
ghaple+baazi toh main sehta hi nahi
kaagaz chheen, taaqat chheen
kaagaz chheen, taaqat chheen
kaagaz chheen, taaqat chheen
guzra ye hafta par dekhi nahi neend
kaagaz chheen, taaqat chheen
kaagaz chheen, taaqat chheen
kaagaz chheen

[verse 4]
main haar ne ni waala
chaahe chheen le tu aakhri niwaalah
raatri se kaala, dil maange aakhri ujaala
shaanti se paala pada tabhi jaanti guzaara
de doon shabd poore andar, jaise chhaati mein bhaala
aadmi niraala main toh kranti phaila raha
hai woh jaanti yeh jwaala
tabhi rishte ko ttaala
main hoon kitnon se jeeta
aur hoon kitnon se haara
pada farak nahi chahiye mehfooz sa kinaara
mujhe dhoondh te reh jayega, main phir se bata rha
choddi doom mein parchhai, yahan rishte bana rha
meri kala jaise jheel aur ye kashti shikara
meri khoon mein likhai aur dhun se hila rha
meri jaan mujhe dhoond hi nahi pa rha
parvat pe baitha mein dhoond ke kinara
meri jaan mujhe dhoond hi nahi pa rha
parvat pe baitha mein dhoond ke kinara

[bridge]
rehna chahta hoon door aabadi se
azadi na hasil kharrato se
laga diya daov likhai pe
hum jaise pichhle janam se juaari the
palte jo pasa ye bhasha bhi bhari hai
sangeet na hota lachari mein
bo diya tha beej jo kyari mein
dega safalta ka fal, to aabhari main
rehna chahta hoon door aabadi se
azadi na hasil kharrato se
laga diya daov likhai pe
hum jaise pichhle janam se juaari the
palte jo pasa ye bhasha bhi bhari hai
sangeet na hota lachari mein
bo diya tha beej jo kyari mein
dega safalta ka fal, to aabhari main

[chorus]
kaagaz, taaqat
kaagaz, taaqat
kaagaz, taaqat
kaagaz, taaqat
kaagaz, taaqat
kaagaz, taaqat
kaagaz, taaqat
kaagaz, taaqat



Random Lyrics

HOT LYRICS

Loading...