vichaar - mehnat lyrics
[verse 1]
meri boli nahi padti hai laundo ke palle
shaitaani ye bhaasha kanashi
bana ye gala vinaashi
jab bhole ki bhakti mein kara talaashi
phir kala taraashi
bas thode sukoon ki mujhe talaash thi
par inn danton ko khoon ki pyaas thi
pratishodh ki aag se jala badan
to phir seekha kya zindagi khaakh thi
chale jhagadne gairon se jab apno se lage darr
aise dinn mujhe yaad kai
apne bheetar ki parton ko neeche tak dekha
toh milli bas raakh wahin
vichaar vivaadon mein vishh sa faila
jab nikle toh chhodega daag kayi
main yehi daag leke gota maara nadi mein
toh koode mere saath kayi
mujhe gyaat nahi kitne svaarthi
maine dard ki sab hade paar ki
phir pehna khushi ka naqaab bhi
main chaahoo farishta ho saath bhi
jo bhare jhole mein prem aur saadgi
tabhi main likhu kahaavate kagazi
mujhpe hai phal ki chinta ka bhaar nahi
tabhi to tal pe jeena swabhaav nahi
kal se jeeta aur jeetunga aaj bhi
irsha guroor ko rakhta hun aakhri
shaahi ye khoon jab dega chunauti
toh laundo ka mehnat karna hoga laazmi
[chorus]
ye mehnat nahi sone deti
ye bhookh nahi sone deti
hall+chall ho raat ko, galliyon mein shor
vichaaron ki khulli peti
ye mehnat nahi sone deti
ye bhookh nahi sone deti
pehle jinn konon mein chupte thae
goonj pade ab unn konon mein bhi
ye mehnat nahi sone deti
ye bhookh nahi sone deti
hall+chall ho raat ko, galliyon mein shor
vichaaron ki khulli peti
ye mehnat nahi sone deti
ye bhookh nahi sone deti
pehle jinn konon mein chupte thae
goonj pade ab unn konon mein bhi
[verse 2]
tu mujhe nahi jaanta
rakhu khamoshi se puraana vaasta
sab bole ki maan ja, main bola nahi
laga sauda mere praan ka
ek hi sapna ki galiyon mein
raula chale mere naam ka
badi se badi deevaaren bhi faand ta
gira nahi jaise ho ashq ye aankh ka
ye naya kavi na thamaa kabhi
inn gamon ko hass ke taal ta
jo karrey thae shaq kaafi
sune chaar gaane, mita shaqq dimaag ka
main bhoola at++t, main bhoola bhavishya
rakha hissab bas aaj ka
gaano ke zariye kamaani hai daulat
aur churaana dil bas aap ka
alfaazon se padd jaata palda ye bhaari bhi
baazi to jeet jaate haari hui
pannon pe deta kurbaani
iraadon mein rakhi hai khaami nahi
jode jab haath toh barkat naseeb
chala main roz baraf pe
par nahi rakhein hein cold feet
tabhi hai leli ji lead
check kar le jaake tu score sheet
faadne pe aata toh lage raseed
launde yaha banate film aur
bhole ke naam par bane shareef
aaj bhi hoon stuck, i need sleep
asur ko rakhun sameep, woh deta chetaavni
main deta bhaav nahi, bole safalta on lease
kuch lete hein cheen ke auur phir hain aate
kuch aise jo girr jaate on their knees
aison ko rakhta nahi main hoon kareeb
paison ki latt mein jo phansey mareez
jaate ye doob notton ki gaddi mein
phir jaake dhoonde dhue mein hafeez
mera na koi azeez, jab leta hoon do kadam aage
to dena ye chahte hein kheech
par todun main leash, par todun main leash
[chorus]
ye mehnat nahi sone deti
ye bhookh nahi sone deti
hall+chall ho raat ko, galliyon mein shor
vichaaron ki khulli peti
ye mehnat nahi sone deti
ye bhookh nahi sone deti
pehle jinn konon mein chupte thae
goonj pade ab unn konon mein bhi
ye mehnat nahi sone deti
ye bhookh nahi sone deti
hall+chall ho raat ko, galliyon mein shor
vichaaron ki khulli peti
ye mehnat nahi sone deti
ye bhookh nahi sone deti
pehle jinn konon mein chupte thae
goonj pade ab unn konon mein bhi
Random Lyrics
- emalynski - landmine lyrics
- tomsun, рамс (rams) - ты врёшь lyrics
- profeys - midi-minuit lyrics
- vesta williams - do ya lyrics
- haftbefehl & ajé - hermes orange freestyle lyrics
- keeqaid & dafliky - eh lyrics
- mega sega drive club - 1 lyrics
- mugi (bra) - apesar de tudo lyrics
- keyze arizona - book of charles lyrics
- bei mcdonalds am schalter - roschi fucking dies lyrics