xamraat - puff puff pass lyrics
(intro)
pendo
it’s your boy
it’s your boy
(vesre)
teri b+tch mujhe text kare roz
mujhe pata he tujhe machi jalan bhot
then she ring ring on my phone
we’re doin #puffpuffpass in the zone
tere jese khajwe mujhse bhot jale
dil me bhari hui he sirf khot tere
na jaane kyu tere jese mere dost bane
aatma meri aalishan leke mujhse maut dare
peda nahi hua me jebo me lеkar note bade
afsanay likhe najanе kitne note bhare
dil me bhari khot tere
tere jese bhot pade
tere jese samne aakar mere per pade
#ahemdabad aakar puch yaha pe kiska zor chale
mein badhu aage kandho pe leke bojh mere
tu mujhe koste rhe tu mujhe khojte reh
hazaar nahi lakh baar ye gaana sunte reh
(chorus)
thoda aur ladne do mujhe
khas banne se pehle
thoda aur likhne do mujhe
be maut marne se pehle
thoda aur jalne do mujhe
aag banne se pehle
thoda aur ubharne do mujhe
raakh banne se pehle
(verse)
tum koi baat kyu nahi karte fir koi baat ho gai kya?
likhra me +rs+ se afsanay
kya hua! sham ho gai kya?
gadi se dhayaan jo hata
saat se aanth ho g+ye kya?
likhai pe dhyaan tha mera
qalam qagzaat kho g+ye kya?
(chorus)
thoda aur ladne do mujhe
khas banne se pehle
thoda aur likhne do mujhe
be maut marne se pehle
thoda aur jalne do mujhe
aag banne se pehle
thoda aur ubharne do mujhe
raakh banne se pehle
(verse)
nibhana chahte ho jo wo
yun chhod jaya nahi karte
apne azeez chahne wale ko
yun gawaya nahi karte
madadein bhi ki he teri kitni
kahe kar jataya nahi karte
har mahine gaane fenkte he
yaani ki bahana nahi karte
ruswai jatani nahi jane de
kahani batani nahi jane de
khoon se bharu diary aur shayri
ye dard mujhko bahane de
padhna chahta me likhai unki
par afsos wo bayan nahi karte
jo insaan khud ko bura kahe
uske sath raha nahi karte
thoda sa ujala manga tha
apno ne mere aag hi laga di
thodi si chingaari bhadkai thi
apno ne mere aag hi laga di
bars itne gahere try to wanna feel me
lakht+e+jigar lagunga thoda filmy
baatein kadwi par lafz mere keemti
chaho to lelo talaashi mere dil ki
paya khoya wo sab mera naseeb tha
shayar banne se pehle me thoda sharif tha
dosti+yaari me sabhi se qareeb tha
ek la+ilaaz bimari jiska me mareez tha
likhne ko waqt bhi nahi tha!
ese bhi din guzare hai
#xamraat he sirf ek aur
najaane tere jaise kitne saare he
(chorus)
thoda aur ladne do mujhe
khas banne se pehle
thoda aur likhne do mujhe
be maut marne se pehle
thoda aur jalne do mujhe
aag banne se pehle
thoda aur ubharne do mujhe
raakh banne se pehle
(vesre)
wohi likha jo aaj tak mene feel kiya
wohi kiya jo aaj tak mera dil kiya
maa+baap chahte me karlu kahi nokri
ye qalam meri mazdur banne se rok rahi
me mazdur nahi ye likhai majboori meri
fir batao manzil se rahi kya duri meri
mein #mashhoor bana
mein mashroof bana
mein #anjum bana
mein maghroor bana
par ha mein kabhi nahi mazdoor bana
me likhta sach waha jaha pe sach mana
me aadmi chhod chuka hu me bachpana
juth bolne ne achha pasand karu marjana
zakhm itne gahere deke hu me chal pada
lafz mere jwala jese ho koi zalzala
ek zamane mein khud se hi lada hu mein
bachpan se haa akela idhar hi khada hu mein
+from koi apna nahi
Random Lyrics
- k2finesse - loser freestyle lyrics
- sia - big girls cry (bleachers remix) lyrics
- michelle creber - i built you a sandcastle lyrics
- eazyono - feuer lyrics
- alicia lov - talk lyrics
- deaddeaddeath - dance, dance, danced (d is for dancing) lyrics
- mayhem ks - a-grade lyrics
- brogodzilla - herd immunity lyrics
- switch fu - weird lyrics
- theli - insomnia lyrics