young stunners - jung wung lyrics
jung wung lyrics
jung se pehle baat kare pichli jung ki
65 ki ya phir 71 ki
mere bhai mene nahi dene aaya dhamki
mein baat karraha haq ki
ye baat meri dhang ki (sun)
hum dono qomen sarhadon se bati hui (yeah)
hum dono ki ek doosre pe hati hui
aur ye sikhata koun? (kon?) media!
sh+t! i’m trynna use my music as a medium
ke shayad loug soch ko azaad kare
civilized tareeke se bethai baat kare
mazhab nahi, insaanyat pe insaf kare
is gand balay se apne dil dimagh saaf kare
aur bhi to qaumo hai is dunya mein
wo aise kyu nae larrti jese ladte tum aur mein
subah se dekh raha hun mein internet pe war memes
kya tumhe zara sa andaza hai, what war means?
war means, yateem ya miskeen, w
war means birth of a curse, death of a dream
tera fouji ya phir mera bro, maa sabki hoti he
rishtay na dekhen koi sarhad, maaen sabki roti he
lekin rajneeti ke aage ye baatein choti lagen
aur nafrat ki nazar se such baat bhi jhoothi lage
aur hum chahen to ye jung kab ki mukaa den
lekin hum chahtay hen ke aman ko ek moqa den
hook:
ye jung wung chor bantai
nafrat ki zanjeeren tor mere bhai
barhna he aag+y humen
sitaaron se aag+y hen jahan aur bantai (x2)
[chen+k]
ek hi mitti ka rang ae ki khoon ye
jung mein bhi ek jaisa junoon hai
masle bhi hoobahoo ye kanoon ke
idhar zainab udhar asifa ka noor hai
aur jitni bhi kaum dono yeh modern
sagi behan ko ghoorein bhai dabe ye foran
ladaiyon ke baad bhi ghar mein raunak
chhupe galiyon mein baap ke pyaar ke 9 rang
gaur kar bhai ek jaise taur tareeke
phir majority kyun ek doosre pe bhonkti hai
talha tu thik hai media ki monopoly
om puri ka qaatil arnab goswami hai
gussa bimaari hai
gussa thukna hoga mulk ki khatir ye
kyunki jab bhi pak ya hind gaali dein
hathyar bike america china ke
phir cheekhein maayein bete ki kabron pe
kaarobar chalein par dikhe khadde sadako pe
nafratein failayein logon mein kamaaye
brigadier wagerah yeh soyein bistaron pe
socho tum maa ke baazuo mein soye ho
do secondo mein faad dein chhat hawa se drone
utho to maa ka baazu pada kahin aur ho
jihaad chhodo maaroge nahi maa ke qaatilon ko
aatankwaadiyo ka mulk bole sunke kahani
sabut nahi maujood kyunki bas pakistani
fir hudus ki wajah se africa bhi aatankwaadi
fir yahudiyo ke liye germany aatankwaadi
peshawar mein laashe 132 thi ji
+++ ho ya pulwama district
ikka ka barah din baad ka na behis
phir gaaliya doon par
zameer bole hargiz nahi
ye jung wung chhod bantai
yeh jung wung chhod bantai
nafrat ki zanjeerein tod mere bhai
badhna aage hai humein
sitaron se aage hai jahaan aur bantai (x2)
talhah yunus:
jung jung jung, jung
to hum roz lade, jung
kyu ke bacche aaj bhi
sarkon pe bhookay maren
sookhay pade
shakhon se jharay pattay
in baghon me qatil kab se
hum lehron ki boli ratt ke
phir bhi bhatkay
divide and rule
kyu saazishen barri batt ke
soch zara hut ke
mein mutassir un bachon se
jo sarkon pe bina ghar ke
nidarr ye, nahi dartay
roz roz ke khel ye, koi ek nae
hazaron jungen larty
koi bhi mazhab nahi insanyat se barh ke
he farak boht
he farak boht
ye ghalat boht
ye baten kadak boht
kyu ke ye sirf sarak talk
tere bhi do kaan, do haath
do pair, do ankhein, ek naak
kyu nahi tareekh yaad
ye sab goron ka khel yaar
ankhen khol yaar
sachai aur jhoot ek tarazu me na tol yar
ab bol yar, kya qusoor un masoomon ka
jin ke dilon me ab khof bhara jung ka
internet pe laray janta, sab media ka agenda
magar aaj ye lafz lehrayenge do mulkon ka jhanda
gehre samandar, kaale badal, panchi ghayab
kashmir ehle nazar mera aur me uska saahil
to kyun ye parhe likhe jahil
baten karen naa ehl
dilon me bhara zeher
umang ankhon pe zahir
Random Lyrics