azlyrics.biz
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

hassan & roshaan – allah hu lyrics

Loading...

[verse 1]
dhondta tujhe har manzar mein yoon baka hoya mein
masjidon or mehkhanon ko bhi chor aaya mein
justajoo saare alam ko ay khudaya teri
mil na paye ga tu inko jaan aaya mein

[pre+chorus]
tujhko dhoondte hain ye nafraton mein dil mein ghubaar bhar ke
ye na jaante ke tu bas raha hai tootey hoye dil mein
tera ghar nahin hai masjidon mein or mandiron mein allah
tu tou har jaga hai har ghari hai paas hi hai

[chorus]
allah hu
allah hu
allah +

[break]

[verse 2]
munsifon nein naam pe teri zulm kesa dhaya
chaar din ki iss zindagi ko talk hai banaya
jal rahe hain kion sadiyon se bewaja ye bande
dekhta hai kia zameen par kion nahin tu aata

[pre+chorus]
lakhon beguna bandon ki aahein sun raha hai phir tu
teri aas par jo jee rahein hain vo jal rahein hain phir kion
maana aarzi hai zindagi or imtehan hai dunya
par munsif agar hai tu rokta nahin zalimon ko kion
[chorus]
allah hu
allah hu

[bridge: vocalisation, instrumental]

[chorus]
allah hu
allah hu
allah hu
allah hu



Random Lyrics

HOT LYRICS

Loading...