azlyrics.biz
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

iqbal – khudday line lyrics

Loading...

lyrics:
naap tol mai jo sacha ussay foran khudday line kar
niyat jiski saaf ussay foran khudday line kar
rishwat na lainay walay ko bhi khudday line kar
panga lainay aaya jo bhi ussay khudday line kar

khudday line kar, in sabko khudday line kar
kabhi jo na sudhray, unhai chor thoo bus rhyme kar
rishwat na lainay walon ko bhi khudday line kar

khudday line kar, sadiq yahan side par
line paar karay ga tho trigger kheenchay sniper
dolat kai pujari, inka nasha kya utarna jab sasta sabsai kaam yahan kissi ka haq maarna
wadairon aur waziron kee yahan dehshat ziada fauj sai
para nai sun tzu par rehtay art of war sai
junoob kee zameen pai control lah0r- sai
illaqay ka bhatta khor jhanda gaaray apnay chowk pai
ghayab apnay qillon mai, par jaib mai police hai
nazar aayen tho samajh lo election bus kareeb hai
ghareeb awaam kee jhootay waadon sai umeed hai
inqalabi jawaan kai haan iqbal on repeat hai

naap tol mai jo sacha ussay foran khudday line kar
niyat jiski saaf ussay foran khudday line kar
rishwat na lainay walay ko bhi khudday line kar
panga lainay aaya jo bhi ussay khudday line kar

khudday line kar, in sabko khudday line kar
kabhi jo na sudhray, unhai chor thoo bus rhyme kar
rishwat na lainay walon ko bhi khudday line kar
panga lainay aaya jo bhi ussay khudday line kar

phut lo aur phutnay do yahan ka dastoor hai
siasat daan kya public bhi iss aadat sai majboor hai
white collar door kee baat, dhaabay waala kaisay sudhray ga
jo cost kaatnay kai liyay tujhay baichay gosht kuttay ka
khud daari halki jaisay public schoolon kee diwarain
niklay keel walay andon sai hamsaye ko dubanay
establishment ko haranay kai jo khwaab daikhay shaanay
missing persons waali list pai apany khud ka naam likhwanay
bari gaarion sai faasla, inkay guards ka koi pata nai
daarion sai faasla, in nai quran kabhi samjha nai
qanoon kai muhafiz sai hifazat kee zaroorat hai
tashadud mai hai faida ye thoo kaisay ab tak samjha nai

naap tol mai jo sacha ussay foran khudday line kar
niyat jiski saaf ussay foran khudday line kar
rishwat na lainay walay ko bhi khudday line kar
panga lainay aaya jo bhi ussay khudday line kar

khudday line kar, in sabko khudday line kar
kabhi jo na sudhray, unhai chor thoo bus rhyme kar
rishwat na lainay walay ko bhi khudday line kar
panga lainay aaya jo bhi ussay khudday line kar

Random Lyrics

HOT LYRICS

Loading...