azlyrics.biz
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

khatth – faasla lyrics

Loading...

o meri jaan tu itna bataa
kyun tu hai mujhse khafaa
kyun hai pareshaan yun itna bataa

kyun dil hai gham se bharaa

khwaabon mein dekha tha jo sheher
hai kismat se rutha hai wo magar
raaton ki hoti hai kab seher
subah ko dhundhu main darbadar

gar faisla tera hai yahi
toh manzoor hai faasla

ho gya tu mujhse juda
kya thi galti meri, kya thi meri khata?
aankhen bhi ab toh bezubaan
ab naa raahatein, tanha ye samaa.

sahil se ab hain bhatke hue
kyun lehron mein laapata?
yaadein bhi hain kyun uljhi hui?
kyun khud mein hi main gumshuda?

tu hi toh hota tha har peher
thi saasein bhi meri, teri meher
raaton ki hoti hai kab seher
subah ko dhundhu main darbadar

gar faisla tera hai yahi
toh manjoor hai faasla.



Random Lyrics

HOT LYRICS

Loading...